aankhen
laḌāo har kisī se yuuñ na tum be-sāḳhta āñkheñ
kahīñ badnām na ho jaa.eñ shorat-yāfata āñkheñ
muravvat rahm aur sharm-o-hayā un meñ nahīñ hotī
dikhāne ke liye hotī haiñ jo ḳhud-sāḳhta āñkheñ
kabhī ḳhud band ho kar rāh-e-dil masdūd kartī haiñ
kabhī detī chalī jaatī haiñ dil tak rāsta āñkheñ
kahīñ fitnagarī se haiñ sukūn-o-chain kī dushman
kahīñ amn-o-amāñ kī haiñ nishānī fāḳhta āñkheñ
kabhī dil bhī taḌaptā hai duhā.ī de ke āñkhoñ kī
kabhī ro ro ke de jaatī haiñ dil kā vāsta āñkheñ
nahīñ tāb-e-nazāra aur jalvoñ kī tamannā hai
kahīñ andhī na ho jaa.eñ ḳhudā-na-ḳhvāsta āñkheñ
chalā kuchh bhī na merā zor jab apnī hī biivī par
dikhātā rah gayā meñ ho ke dil-bardashta āñkheñ
nazar lagne kā Dar thā is liye bhī 'ḳhvāh-maḳhvāh' maiñ ne
haTā leñ un ke ruḳh se bā-dil-e-na-ḳhvāsta āñkheñ
hasīnoñ se nigāheñ 'ḳhvāh-maḳhvāh' tum kyuuñ laḌāte ho
kahīñ kamzor na ho jaa.eñ pension-yāfta āñkheñ
laDao har kisi se yun na tum be-saKHta aankhen
kahin badnam na ho jaen shorat-yafata aankhen
murawwat rahm aur sharm-o-haya un mein nahin hoti
dikhane ke liye hoti hain jo KHud-saKHta aankhen
kabhi KHud band ho kar rah-e-dil masdud karti hain
kabhi deti chali jati hain dil tak rasta aankhen
kahin fitnagari se hain sukun-o-chain ki dushman
kahin amn-o-aman ki hain nishani faKHta aankhen
kabhi dil bhi taDapta hai duhai de ke aankhon ki
kabhi ro ro ke de jati hain dil ka wasta aankhen
nahin tab-e-nazara aur jalwon ki tamanna hai
kahin andhi na ho jaen KHuda-na-KHwasta aankhen
chala kuchh bhi na mera zor jab apni hi biwi par
dikhata rah gaya mein ho ke dil-bardashta aankhen
nazar lagne ka Dar tha is liye bhi 'KHwah-maKHwah' main ne
haTa len un ke ruKH se ba-dil-e-na-KHwasta aankhen
hasinon se nigahen 'KHwah-maKHwah' tum kyun laDate ho
kahin kamzor na ho jaen pension-yafta aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.