Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiqi mein hum ko ab tak mar khana yaad hai

Masroor Shahjahanpuri

aashiqi mein hum ko ab tak mar khana yaad hai

Masroor Shahjahanpuri

āshiqī meñ ham ko ab tak maar khānā yaad hai

jism par chūnā kabhī haldī lagānā yaad hai

ishq meñ un ke piTe the ham jahāñ pahle pahal

muddateñ guzrīñ par ab tak vo Thikānā yaad hai

tiin din tak ḳhauf ke maare chhupe the jis jagah

us jagah banñe ko thā ik ġhusl-ḳhāna yaad hai

pahle aa ke un ke daddy ne bhañbhoḌā thā hameñ

aur phir kutte ham ko kaaT khānā yaad hai

un ammī ho chalīñ thiiñ rafta rafta ham-ḳhayāl

haañ magar abbā un ke varġhalānā yaad hai

taak kar gillā chalāyā thā jo un aañkh par

un ke abbā ko mirā ab tak nishāna yaad hai

sharbat-e-dīdār thiiñ chuskiyāñ sab ke liye

band thā 'masrūr' par āb-o-dāna yaad hai

aashiqi mein hum ko ab tak mar khana yaad hai

jism par chuna kabhi haldi lagana yaad hai

ishq mein un ke piTe the hum jahan pahle pahal

muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai

tin din tak KHauf ke mare chhupe the jis jagah

us jagah banne ko tha ek ghusl-KHana yaad hai

pahle aa ke un ke daddy ne bhanbhoDa tha hamein

aur phir kutte ka hum ko kaT khana yaad hai

un ki ammi ho chalin thin rafta rafta ham-KHayal

han magar abba ka un ke warghalana yaad hai

tak kar gilla chalaya tha jo un ki aankh par

un ke abba ko mera ab tak nishana yaad hai

sharbat-e-didar ki thin chuskiyan sab ke liye

band tha 'masrur' par hi aab-o-dana yaad hai

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now