Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi chaman mein

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

ajnabi chaman mein

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

na banā sakā nasheman kisī ajnabī chaman meñ

mirā ghar jalā hai jab se mire apne vatan meñ

mire zauq-e-ḳhush-libāsī ko farishte bhī to dekheñ

maiñ marūñ to dafn karnā Terī-len ke kafan meñ

ye hai be-sabāt duniyā isī dam ke murġh

jo sub.h pakā kitchen meñ magar aayā na tiffin meñ

maza gul ke toḌne to milā bahut ai gulchīñ

milī lazzat-e-ḳhalish bhī kisī ḳhaar chubhan meñ

yahī aarzū hai merī nazm-o-nasr meñ yaksāñ

ki nahīñ tazād koī mere sher aur suḳhan meñ

kabhī sābiqa paḌe na mirā saas aur ḳhusar se

mile biivī gaay jaisī jo bañdhī rahe sahn meñ

maiñ kabhī na byaah kartā jo mujhe ye ilm hotā

ki hajm baḌhegā un to ghaTūñgā maiñ vazan meñ

chaḌhā un pe gosht kaise mirī niklī haDDiyāñ kyoñ

ye to raaz haiñ bāteñ kahūñ kaise anjuman meñ

yahī farq rah gayā hai ai raqīb tujh meñ mujh meñ

maiñ basā huuñ ke bamba.ī rahā nahīñ dakan meñ

vahāñ byaah maiñ rachāyā rahā yahāñ akelā

maiñ qafas meñ bhī huuñ āzād asiir hai chaman meñ

ye hamārā vatan hai magar aaj ham haiñ mehmāñ

hai ajab sitam-zarīfī ki haiñ be-vatan vatan meñ

koī 'ḳhvāh-maḳhvāh' pūchhe tire qurb latāfat

ki tirā ḳhayāl aayā huī gudgudī badan meñ

na bana saka nasheman kisi ajnabi chaman mein

mera ghar jala hai jab se mere apne hi watan mein

mere zauq-e-KHush-libasi ko farishte bhi to dekhen

main marun to dafn karna Teri-len ke kafan mein

ye hai be-sabaat duniya isi dam ke murgh ki si

jo subh paka kitchen mein magar aaya na tiffin mein

maza gul ke toDne ka to mila bahut ai gulchin

mili lazzat-e-KHalish bhi kisi KHar ki chubhan mein

yahi aarzu hai meri nazm-o-nasr mein yaksan

ki nahin tazad koi mere sher aur suKHan mein

kabhi sabiqa paDe na mera sas aur KHusar se

mile biwi gay jaisi jo bandhi rahe sahn mein

main kabhi na byah karta jo mujhe ye ilm hota

ki hajm baDhega un ka to ghaTunga main wazan mein

chaDha un pe gosht kaise meri nikli haDDiyan kyon

ye to raaz ki hain baaten kahun kaise anjuman mein

yahi farq rah gaya hai ai raqib tujh mein mujh mein

main basa hun ja ke bambai tu raha nahin dakan mein

wahan byah main rachaya tu raha yahan akela

main qafas mein bhi hun aazad tu asir hai chaman mein

ye hamara hi watan hai magar aaj hum hain mehman

hai ajab sitam-zarifi ki hain be-watan watan mein

koi 'KHwah-maKHwah' puchhe tere qurb ki latafat

ki tera KHayal aaya hui gudgudi badan mein

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now