Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miss simin badan

Akbar Allahabadi

miss simin badan

Akbar Allahabadi

ek mis sīmīñ badan se kar liyā london meñ aqd

is ḳhatā par sun rahā huuñ tāna-hā-e-dil-ḳharāsh

koī kahtā hai ki bas us ne bigāḌī nasl-e-qaum

koī kahtā hai ki ye hai bad-ḳhisāl-o-bad-ma.āsh

dil meñ kuchh insāf kartā nahīñ koī buzurg

ho ke ab majbūr ḳhud is raaz ko kartā huuñ faash

hotī thī tākīd london jaao añgrezī paḌho

qaum-e-english se milo sīkho vahī vaz.a-e-tarāsh

jagmagāte hoTaloñ ke nazzāra karo

soup o karrī ke maze lo chhoḌ kar yaḳhnī o aash

līdaroñ se mil ke dekho un ke andāz-o-tarīq

hall meñ nācho clab meñ jaake khelo un se taash

bāda-e-tahzīb-e-europe ke chaḌhāo ḳhum ke ḳhum

asia ke shīsha-e-taqvā ko kar do paash paash

jab amal is par kiyā pariyoñ saaya ho gayā

jis se thā dil harārat ko sarāsar inte.āsh

sāmne thiiñ leadiyāñ zehara-vash o jādū-nazar

yaañ javānī umañg aur un ko āshiq talāsh

us chitvan sehar-āgīñ us bāteñ dil-rubā

chaal us fitna-ḳhez us nigāheñ barq-pāsh

vo faroġh-e-ātish-e-ruḳh jis ke aage āftāb

is tarah jaise ki pesh-e-sham.a parvāne laash

jab ye sūrat thī to mumkin thā ki ik barq-e-balā

dast-e-sīmīñ ko baḌhātī aur maiñ kahtā dūr-bāsh?

donoñ jānib thā ragoñ meñ josh-e-ḳhūn-e-fitna-zā

dil thā āḳhir nahīñ thī barf ye koī qaash

baar baar aatā hai 'akbar' mere dil meñ ye ḳhayāl

hazrat-e-sayyad se jākar arz kartā koī kaash

'darmiyān-e-qa.ar-e-dariyā taḳhta-bandam-karda-ī

bāz-mī-goī ki dāman-tar makun-hushyār-bāsh

ek mis simin badan se kar liya london mein aqd

is KHata par sun raha hun tana-ha-e-dil-KHarash

koi kahta hai ki bas us ne bigaDi nasl-e-qaum

koi kahta hai ki ye hai bad-KHisal-o-bad-maash

dil mein kuchh insaf karta hi nahin koi buzurg

ho ke ab majbur KHud is raaz ko karta hun fash

hoti thi takid london jao angrezi paDho

qaum-e-english se milo sikho wahi waza-e-tarash

jagmagate hoTalon ka ja ke nazzara karo

soup o karri ke maze lo chhoD kar yaKHni o aash

lidaron se mil ke dekho un ke andaz-o-tariq

hall mein nacho clab mein jake khelo un se tash

baada-e-tahzib-e-europe ke chaDhao KHum ke KHum

asia ke shisha-e-taqwa ko kar do pash pash

jab amal is par kiya pariyon ka saya ho gaya

jis se tha dil ki hararat ko sarasar inteash

samne thin leadiyan zehara-wash o jadu-nazar

yan jawani ki umang aur un ko aashiq ki talash

us ki chitwan sehar-agin us ki baaten dil-ruba

chaal us ki fitna-KHez us ki nigahen barq-pash

wo farogh-e-atish-e-ruKH jis ke aage aaftab

is tarah jaise ki pesh-e-shama parwane ki lash

jab ye surat thi to mumkin tha ki ek barq-e-bala

dast-e-simin ko baDhati aur main kahta dur-bash?

donon jaanib tha ragon mein josh-e-KHun-e-fitna-za

dil hi tha aaKHir nahin thi barf ki ye koi qash

bar bar aata hai 'akbar' mere dil mein ye KHayal

hazrat-e-sayyad se jakar arz karta koi kash

'darmiyan-e-qar-e-dariya taKHta-bandam-karda-i

baz-mi-goi ki daman-tar makun-hushyar-bash

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now