Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pension-yafta

na ab maiñ pyaar kar saktā huuñ aur na DaañT saktā huuñ

jo baaqī rah ga.e haiñ din unheñ bas kaaT saktā huuñ

jo mil jaa.e usī par iktifā karnā paḌtā hai

koī shai apnī marzī se na ab meñ chhāñT saktā huuñ

huā huuñ jab se pension-yāfta ye haal hai yaaro

na koī qarz detā hai na pension baañT saktā huuñ

yahī kyā kam hai ḳhud-muḳhtār huuñ maiñ jab bhī chāhe

tamannāoñ ke par uḌne se pahle kaaT saktā huuñ

maiñ apne vaqt ke hāthoñ meñ huuñ jaise chhaTī uñglī

na isti.māl kar saktā huuñ aur na kaaT saktā huuñ

ġhamoñ ḳhair TeḌhī nahīñ gāḌhī bhī hotī hai

na jaatī hai ye aur na use maiñ chaaT saktā huuñ

uḌā kar dekh le koī patañgeñ apnī sheḳhī

bulandī par agar huuñ bhī to kanne kaaT saktā huuñ

yahī taufīq kyā kam hai ki raunaq ko hañsā kar maiñ

dukhoñ bojh kam karne ġhamoñ ko baañT saktā huuñ

ḳhalīj-e-buġhz-o-nafrat gar diloñ meñ ho ga.ī paidā

use maiñ 'ḳhvāh-maḳhvāh' hañste-hañsāte paaT saktā huuñ

na ab main pyar kar sakta hun aur na DanT sakta hun

jo baqi rah gae hain din unhen bas kaT sakta hun

jo mil jae usi par iktifa karna hi paDta hai

koi shai apni marzi se na ab mein chhanT sakta hun

hua hun jab se pension-yafta ye haal hai yaro

na koi qarz deta hai na pension banT sakta hun

yahi kya kam hai KHud-muKHtar hun main jab bhi ji chahe

tamannaon ke par uDne se pahle kaT sakta hun

main apne waqt ke hathon mein hun jaise chhaTi ungli

na istimal kar sakta hun aur na kaT sakta hun

ghamon ki KHair TeDhi hi nahin gaDhi bhi hoti hai

na pi jati hai ye aur na use main chaT sakta hun

uDa kar dekh le koi patangen apni sheKHi ki

bulandi par agar hun bhi to kanne kaT sakta hun

yahi taufiq kya kam hai ki raunaq ko hansa kar main

dukhon ka bojh kam karne ghamon ko banT sakta hun

KHalij-e-bughz-o-nafrat gar dilon mein ho gai paida

use main 'KHwah-maKHwah' hanste-hansate paT sakta hun

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now