wo meri DeDh aankhon se kya kya dikhai de
vo merī DeḌh āñkhoñ se kyā kyā dikhā.ī de
sīdhā dikhā.ī de ki jo ulTā dikhā.ī de
patlūn hai ġharāra to jampar bhī hai qamīz
fashion kā rang aur bhī chaḌhtā dikhā.ī de
ab sar par oḌhnī hai na hāthoñ meñ chūḌiyāñ
laḌkī bhī āj-kal mujhe laḌkā dikhā.ī de
hero kabhī jo chheḌ de college kī girl ko
college ke gate par hī vo piTtā dikhā.ī de
chashma bhī chashm-e-nāz pe shāyad hai is liye
chechak-zada ho chehra to achchhā dikhā.ī de
jiddat kā hai kamāl ki shā'ir ko āj-kal
sūraj ko choñch meñ liye murġhā dikhā.ī de
jaise adab kī bazm bhī bāzār-e-she'r ho
shā'ir ġharīb vaah pe biktā dikhā.ī de
is daur kī hai den ki kursī pe āj-kal
āñkhoñ kā andhā gāñTh kā puurā dikhā.ī de
kaise karegā koī zarūrat kī guftugū
netā ke saath saath jo chamcha dikhā.ī de
patlūn das hī rūpye kā begam ko hai girāñ
saayā magar pachās kā sastā dikhā.ī de
shā'ir mushā'ire meñ paḌhe jam ke kis tarah
chehre se jab vo raat kā bhūkā dikhā.ī de
shā'ir ġharīb kā hai 'ajab haal bazm meñ
hōting kā hamla ho to akelā dikhā.ī de
pahchān bhī libās se dushvār ho ga.ī
saalī bhī ab libās meñ saalā dikhā.ī de
ham ne ye lāTrī kī ticket kyā ḳharīd lī
har raat ek laakh kā sapnā dikhā.ī de
masjid kā hogā vo to mo.azzin ki pesh-imām
tanhā khaḌā namāz jo paḌhtā dikhā.ī de
suunī paḌī haiñ masjideñ lekin mazār par
har jum'e jum’erāt ko mela dikhā.ī de
'jauhar' kā har kalām tabassum-navāz hai
rotā huā jo aa.e vo hañstā dikhā.ī de
wo meri DeDh aankhon se kya kya dikhai de
sidha dikhai de ki jo ulTa dikhai de
patlun hai gharara to jampar bhi hai qamiz
fashion ka rang aur bhi chaDhta dikhai de
ab sar par oDhni hai na hathon mein chuDiyan
laDki bhi aaj-kal mujhe laDka dikhai de
hero kabhi jo chheD de college ki girl ko
college ke gate par hi wo piTta dikhai de
chashma bhi chashm-e-naz pe shayad hai is liye
chechak-zada ho chehra to achchha dikhai de
jiddat ka hai kamal ki sha'ir ko aaj-kal
suraj ko chonch mein liye murgha dikhai de
jaise adab ki bazm bhi bazar-e-she'r ho
sha'ir gharib wah pe bikta dikhai de
is daur ki hai den ki kursi pe aaj-kal
aankhon ka andha ganTh ka pura dikhai de
kaise karega koi zarurat ki guftugu
neta ke sath sath jo chamcha dikhai de
patlun das hi rupye ka begam ko hai giran
saya magar pachas ka sasta dikhai de
sha'ir musha'ire mein paDhe jam ke kis tarah
chehre se jab wo raat ka bhuka dikhai de
sha'ir gharib ka hai 'ajab haal bazm mein
hooting ka hamla ho to akela dikhai de
pahchan bhi libas se dushwar ho gai
sali bhi ab libas mein sala dikhai de
hum ne ye laTri ki ticket kya KHarid li
har raat ek lakh ka sapna dikhai de
masjid ka hoga wo to moazzin ki pesh-imam
tanha khaDa namaz jo paDhta dikhai de
suni paDi hain masjiden lekin mazar par
har jum'e jum’eraat ko mela dikhai de
'jauhar' ka har kalam tabassum-nawaz hai
rota hua jo aae wo hansta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.