bambai
visky o solan kā ābā.ī vatan hai bamba.ī
landon-o-pairis kī sautelī bahan hai bamba.ī
muḳhtalif dūlhe haiñ jis ke vo dul.han hai bamba.ī
film o 'ilm o 'ishq kī ek anjuman hai bamba.ī
bamba.ī jis ne basāyā vo baḌā ustād thā
world kā juġhrāfiya us ko zabānī yaad thā
bamba.ī meñ 'ishq farmānā bahut āsān hai
is tijārat meñ munāfa' kā bahut imkān hai
'ishq vāloñ kā yahāñ maidān hī maidān hai
bamba.ī kā bachcha bachcha māhir-e-rūmān hai
dīd-e-avval vasl kā paiġhām hotī hai yahāñ
husn kī doshīzgī nīlām hotī hai yahāñ
tājirāna 'ishq yaañ kā ḳhaas etiquette hai
yaañ agar 'āshiq hai moTā 'ishq meñ bhī weight hai
yaañ sabhī bhūke haiñ lekin apnā apnā peT hai
apnā apnā market hai apnā apnā rate hai
shaiḳh jī bakte raheñ aisā hai vaisā hai ḳhudā
bamba.ī vaale ye farmāte haiñ paisa hai ḳhudā
'ishq ke maidāñ meñ yaañ ghoḌe bhī haiñ sā.īs bhī
'aql kī mahfil meñ yaañ jibrīl bhī iblīs bhī
husn ke bāzār meñ yaañ thaan bhī kaTpīs bhī
chaar sau bīsiyoñ ke leader aaTh sau chālīs bhī
kyā batā.ūñ meñ tumheñ is shahr kā juġhrāfiya
bamba.ī hai ik ġhazal gaḌ-baḌ hai jis kā qāfiya
husn yaañ hans hans ke kahtā hai ki maiḳhāne meñ chal
'ishq kahtā hai ki miss chhammo ke kāshāne meñ chalī
vahshat-e-dil kā taqāzā hai ki vīrāne meñ chalī
aur police kahtī hai mere saath aa thāne meñ chal
jeb kahtī hai abe ullū yahāñ se bhaag jagā
yā badāyūñ kā ticket le yā sū-e-prayāg jā
dil ko bahlāne yahāñ tum khel meñ jaao to rush
central se bandra tak rail meñ jaao to rush
chhoḌ kar jantā ko puna mail meñ jaao to rush
qaum kī ḳhidmat ke badle jail meñ jaao to rush
hai yahāñ ye hukm har majbūr o bekas ke liye
subah se line lagā do shaam kī bus ke liye
hai yahāñ ik marhala aisā jo sar hotā nahīñ
yā'nī ghar vaalī to ho jaatī hai ghar hotā nahīñ
baam hotā hai agar ghar meñ to dar hotā nahīñ
yā'nī ghar mā'lūm hotā hai magar hotā nahīñ
ek shauhar ek begam ek bhāvaj ek nand
be-takalluf ek hī kholī meñ ho jaate haiñ band
guftugū meñ bhī yahāñ ik ḳhaas andāz-e-'avām
kal kisī se kah rahe the ik buzurg-e-nek-nām
ham to shālā roz tum shāle ko kartā hai shalām
aur tum shālā kabhī kartā nahīñ ham she shalām
ham brobar baat kartā hai apun jhūTā nahīñ
tum to banDal pheñktā hai maal abhī chhūTā nahīñ
bamba.ī meñ saikḌoñ 'ilmī o filmī shaḳhsiyāt
vo editor jin ke hāthoñ meñ nizām-e-kā.enāt
vo producer ki jin ke jaam meñ āb-e-hayāt
aur vo shā'ir ki jin kī shāḳh-e-āhū par barāt
yaañ dilip o raaj haiñ naushād o mahmūd o latā
in se milnā ho to pahle bhuul jā apnā pata
bamba.ī meñ 'aam hai har jins-e-behtar kā black
aarzū kā vaqt kā sangam kā leader kā black
yaañ shakīl o sāhir o majrūh o aḳhtar kā black
jā'frī to jā'frī Thahre muzaffar kā black
dekh kar is shahr ke andāz dil hairān hai
bamba.ī kaahe ko hai puurā jamālistān hai
wisky o solan ka aabai watan hai bambai
landon-o-pairis ki sauteli bahan hai bambai
muKHtalif dulhe hain jis ke wo dulhan hai bambai
film o 'ilm o 'ishq ki ek anjuman hai bambai
bambai jis ne basaya wo baDa ustad tha
world ka jughrafiya us ko zabani yaad tha
bambai mein 'ishq farmana bahut aasan hai
is tijarat mein munafa' ka bahut imkan hai
'ishq walon ka yahan maidan hi maidan hai
bambai ka bachcha bachcha mahir-e-ruman hai
did-e-awwal wasl ka paigham hoti hai yahan
husn ki doshizgi nilam hoti hai yahan
tajirana 'ishq yan ka KHas etiquette hai
yan agar 'ashiq hai moTa 'ishq mein bhi weight hai
yan sabhi bhuke hain lekin apna apna peT hai
apna apna market hai apna apna rate hai
shaiKH ji bakte rahen aisa hai waisa hai KHuda
bambai wale ye farmate hain paisa hai KHuda
'ishq ke maidan mein yan ghoDe bhi hain sais bhi
'aql ki mahfil mein yan jibril bhi iblis bhi
husn ke bazar mein yan than bhi kaTpis bhi
chaar sau bisiyon ke leader aaTh sau chaalis bhi
kya bataun mein tumhein is shahr ka jughrafiya
bambai hai ek ghazal gaD-baD hai jis ka qafiya
husn yan hans hans ke kahta hai ki maiKHane mein chal
'ishq kahta hai ki miss chhammo ke kashane mein chali
wahshat-e-dil ka taqaza hai ki virane mein chali
aur police kahti hai mere sath aa thane mein chal
jeb kahti hai abe ullu yahan se bhag jaga
ya badayun ka ticket le ya su-e-prayag ja
dil ko bahlane yahan tum khel mein jao to rush
central se bandra tak rail mein jao to rush
chhoD kar janta ko puna mail mein jao to rush
qaum ki KHidmat ke badle jail mein jao to rush
hai yahan ye hukm har majbur o bekas ke liye
subah se line laga do sham ki bus ke liye
hai yahan ek marhala aisa jo sar hota nahin
ya'ni ghar wali to ho jati hai ghar hota nahin
baam hota hai agar ghar mein to dar hota nahin
ya'ni ghar ma'lum hota hai magar hota nahin
ek shauhar ek begam ek bhawaj ek nand
be-takalluf ek hi kholi mein ho jate hain band
guftugu mein bhi yahan ek KHas andaz-e-'awam
kal kisi se kah rahe the ek buzurg-e-nek-nam
hum to shaala roz tum shaale ko karta hai shalam
aur tum shaala kabhi karta nahin hum she shalam
hum brobar baat karta hai apun jhuTa nahin
tum to banDal phenkta hai mal abhi chhuTa nahin
bambai mein saikDon 'ilmi o filmi shaKHsiyat
wo editor jin ke hathon mein nizam-e-kaenat
wo producer ki jin ke jam mein aab-e-hayat
aur wo sha'ir ki jin ki shaKH-e-ahu par baraat
yan dilip o raj hain naushad o mahmud o lata
in se milna ho to pahle bhul ja apna pata
bambai mein 'am hai har jins-e-behtar ka black
aarzu ka waqt ka sangam ka leader ka black
yan shakil o sahir o majruh o aKHtar ka black
ja'fri to ja'fri Thahre muzaffar ka black
dekh kar is shahr ke andaz dil hairan hai
bambai kahe ko hai pura jamalistan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.