Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalte hue jo dekhe DanDe teri gali mein

betakalluf shaajapuri

chalte hue jo dekhe DanDe teri gali mein

betakalluf shaajapuri

chalte hue jo dekhe DanDe tirī galī meñ

sab paḌ ga.e haiñ aa kar ThanDe tirī galī meñ

terā dar-e-mohabbat kyā ban gayā hai tīrath

mullā tirī galī meñ panDe tirī galī meñ

ik raat dekh lenā elān-e-jang hogā

gaaḌe haiñ āshiqoñ ne jhanDe tirī galī meñ

tevar batā rahe haiñ kuchh din se āshiqoñ ke

dangal zarūr hogā one-day tirī galī meñ

armān-o-ārzū holī bhī ab jalegī

kar to rakh diye haiñ kanDe tirī galī meñ

tujh ko nahīñ ḳhabar jab taftīsh police ne

ek rail bhar ke nikle ġhunDe tirī galī meñ

pahra lagā huā hai chhe saal se police

kis chiiz ke gaḌe haiñ hanDe tirī galī meñ

mela lagā huā hai bīmār āshiqoñ

din raat ho rahe haiñ ġhanDe tirī galī meñ

har chiiz mere ghar āshiq huī hai tujh par

detī hai merī murġhī anDe tirī galī meñ

lagtā nahīñ hai ab jānāñ kisī galī meñ

sunday tirī galī meñ monday tirī galī meñ

bārātiyoñ meñ le kar pañdrah hazār shā.ir

aa.egā 'be-takalluf' one-day tirī galī meñ

chalte hue jo dekhe DanDe teri gali mein

sab paD gae hain aa kar ThanDe teri gali mein

tera dar-e-mohabbat kya ban gaya hai tirath

mulla teri gali mein panDe teri gali mein

ek raat dekh lena elan-e-jang hoga

gaDe hain aashiqon ne jhanDe teri gali mein

tewar bata rahe hain kuchh din se aashiqon ke

dangal zarur hoga one-day teri gali mein

arman-o-arzu ki holi bhi ab jalegi

la kar to rakh diye hain kanDe teri gali mein

tujh ko nahin KHabar jab taftish ki police ne

ek rail bhar ke nikle ghunDe teri gali mein

pahra laga hua hai chhe sal se police ka

kis chiz ke gaDe hain hanDe teri gali mein

mela laga hua hai bimar aashiqon ka

din raat ho rahe hain ghanDe teri gali mein

har chiz mere ghar ki aashiq hui hai tujh par

deti hai meri murghi anDe teri gali mein

lagta nahin hai ji ab jaanan kisi gali mein

sunday teri gali mein monday teri gali mein

baraatiyon mein le kar pandrah hazar shair

aaega 'be-takalluf' one-day teri gali mein

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now