Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do Tuk

Shaukat Jamal

do Tuk

Shaukat Jamal

shādī ke chand roz to chheḌī na koī baat

haa.il hamāre beach rahe kuchh takallufāt

phir ek din jo un se mirī guftugū huī

do Tuuk bāt-chīt huī dū-badū huī

pūchhā ki nāshte koī intizām hai

bolīñ mujhe patā ho mujh par harām hai

maiñ ne kahā ki chaa.e pyālī atā kareñ

kahne lagīñ ki baat na aisī kiyā kareñ

maiñ ne kahā chaleñ zarā anDā ubaal deñ

bolīñ mujhe na aap ye kār-e-muhāl deñ

pūchhā ki jāntī to haiñ chāval ubālnā

bolīñ balā ab apnī mire sar na Dālnā

maiñ ne kahā ki hai koī roTī aasrā

bolīñ khule hue to haiñ tandūr bajā

maiñ ne kahā ki gosht pakāne taab hai

bolīñ Tin ke paik meñ sab dastiyāb hai

maiñ ne kahā ki daal sabzī banā.iye

kahne lagīñ ḳhayāl ye dil se nikāliye

maiñ ne kahā ki khānā pakānā hai zindagī

bolīñ ki jo pake use khānā hai zindagī

aapas meñ faisla koī karnā thā ham ko aaj

pūchhā karegā kaun bhalā ghar kām-kāj

bolīñ ki kaam karne ḳhūgar nahīñ huuñ maiñ

biivī huuñ aap koī shauhar nahīñ huuñ maiñ

shadi ke chand roz to chheDi na koi baat

hail hamare beach rahe kuchh takallufat

phir ek din jo un se meri guftugu hui

do Tuk baat-chit hui du-badu hui

puchha ki nashte ka koi intizam hai

bolin mujhe pata ho tu mujh par haram hai

main ne kaha ki chae ki pyali ata karen

kahne lagin ki baat na aisi kiya karen

main ne kaha chalen zara anDa ubaal den

bolin mujhe na aap ye kar-e-muhaal den

puchha ki jaanti to hain chawal ubaalna

bolin bala ab apni mere sar na Dalna

main ne kaha ki hai koi roTi ka aasra

bolin khule hue to hain tandur ja baja

main ne kaha ki gosht pakane ki tab hai

bolin ki Tin ke paik mein sab dastiyab hai

main ne kaha ki dal ya sabzi banaiye

kahne lagin KHayal ye dil se nikaliye

main ne kaha ki khana pakana hai zindagi

bolin ki jo pake use khana hai zindagi

aapas mein faisla koi karna tha hum ko aaj

puchha karega kaun bhala ghar ka kaam-kaj

bolin ki kaam karne ki KHugar nahin hun main

biwi hun aap ki koi shauhar nahin hun main

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now