Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lat uTTha hath uTTha juta uTha my dear

Wahid Ansari Burhanpur

lat uTTha hath uTTha juta uTha my dear

Wahid Ansari Burhanpur

MORE BYWahid Ansari Burhanpur

    laat uTThā haath uTThā juutā uThā my dear

    apne siine se magar mujh ko lagā my dear

    ek cup chaa.e banā zahr milā my dear

    sabr ghūñT na is tarah pilā my dear

    is na.e daur meñ farsūda rivāyat pe na

    shādī se pahle honeymōn manā my dear

    jab bhī chāhūñ tire father ghumā duuñ chābī

    apnī mummy ko magar bhī paTā my dear

    baat manvanī hai arbāb-e-hukūmat se agar

    nit-na.e Dhoñg rachā dhuum machā my dear

    mil jā.egī ġhazal tujh ko koī ek nahīñ

    apne ustād ko par chaa.e pilā my dear

    apnī dāmādī baḳhsheñge sharaf abbā tire

    gar nahīñ tujh ko yaqīñ shart lagā my dear

    'ishq aaj uTThā dekh janāza 'vāhid'

    jhūTe Tisve sahī kuchh to bahā my dear

    lat uTTha hath uTTha juta uTha my dear

    apne sine se magar mujh ko laga my dear

    ek cup chae bana zahr mila my dear

    sabr ka ghunT na is tarah pila my dear

    is nae daur mein farsuda riwayat pe na ja

    shadi se pahle honeymoon mana my dear

    jab bhi chahun tere father ki ghuma dun chabi

    apni mummy ko magar tu bhi paTa my dear

    baat manwani hai arbab-e-hukumat se agar

    nit-nae Dhong racha dhum macha my dear

    mil hi jaegi ghazal tujh ko koi ek nahin

    apne ustad ko par chae pila my dear

    apni damadi ka baKHshenge sharaf abba tere

    gar nahin tujh ko yaqin shart laga my dear

    'ishq ka aaj uTTha dekh janaza 'wahid'

    jhuTe Tiswe hi sahi kuchh to baha my dear

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now