Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-bina gungi bahri wazarat pe aaKH-thu

Ahmad Imam

na-bina gungi bahri wazarat pe aaKH-thu

Ahmad Imam

nā-bīnā gūñgī bahrī vazārat pe āḳh-thū

sau baar āj-kal siyāsat pe āḳh-thū

bhūke haiñ ahl-e-ilm gadhe khā rahe haiñ khiir

thū thū tire nizām-e-hukūmat pe āḳh-thū

ahl-e-sitam vaah se hotī hai jo nasīb

shohrat pe aisī āḳh-thū rāhat pe āḳh-thū

tujh meñ nahīñ tamīz halāl-o-harām

la.anat tirī kamā.ī pe daulat pe āḳh-thū

rakhtī hai jo nigāh hamesha mafād par

aisī vafā pe aisī mohabbat pe āḳh-thū

jo dāġh-dār kar de anā ke libās ko

aise surūr-o-kaif pe ishrat pe āḳh-thū

dastār hai paas jinheñ kar rahe haiñ vo

ḳhairāt meñ milī huī izzat pe āḳh-thū

na-bina gungi bahri wazarat pe aaKH-thu

sau bar aaj-kal ki siyasat pe aaKH-thu

bhuke hain ahl-e-ilm gadhe kha rahe hain khir

thu thu tere nizam-e-hukumat pe aaKH-thu

ahl-e-sitam ki wah se hoti hai jo nasib

shohrat pe aisi aaKH-thu rahat pe aaKH-thu

tujh mein nahin tamiz halal-o-haram ki

lanat teri kamai pe daulat pe aaKH-thu

rakhti hai jo nigah hamesha mafad par

aisi wafa pe aisi mohabbat pe aaKH-thu

jo dagh-dar kar de ana ke libas ko

aise surur-o-kaif pe ishrat pe aaKH-thu

dastar ka hai pas jinhen kar rahe hain wo

KHairaat mein mili hui izzat pe aaKH-thu

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now