Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachchon ki muskan

Syeda Farhat

bachchon ki muskan

Syeda Farhat

kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ muskān

hañste aur muskāte bachche bhārat des shaan

kal ye mahakte phuul baneñge aaj haiñ nannhī kaliyāñ

saaya un par kiye hue haiñ āshāoñ pariyāñ

zahrīle kāñToñ se na uljheñ ye nannhī jaan

kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ muskān

hañste aur muskāte bachche bhārat des shaan

nannhī munnī komal kaliyāñ kahīñ na murjhā jaa.eñ

ḳhushbū mahke kyārī kyārī mahkeñ aur mahkā.eñ

gulshan ke sab rakhvāloñ par farz hai un dhyān

kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ muskān

hañste aur muskāte bachche bhārat des shaan

jīvan meñ ujyālā in se ye dhartī ke taare

gore haiñ kaale haiñ ye bachche pyāre pyāre

maaoñ mamtā se pūchho sab haiñ ek samān

kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ muskān

hañste aur muskāte bachche bhārat des shaan

bastī bastī nagar nagar ye amrit jal barsāo

jīvan jot jalāo har ilm diip jalāo

jab hoñ baḌe ye aaj ke bachche nikleñ sab vidvān

kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ muskān

hañste aur muskāte bachche bhārat des shaan

sehat sundartā paa.eñ sab ko rañg-o-rūp mile

taaza havā bharpūr ġhizā ho in ko sunahrī dhuup mile

phūle phale parvān chaḌhe ye bhārat santān

kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ muskān

hañste aur muskāte bachche bhārat des shaan

amn ThanDī chhāñv meñ kheleñ in ko sab pyaar mile

dukh na inheñ pahuñchā.e koī in ko sukhī sansār mile

des saarī maa.eñ dil meñ rakhtī haiñ armān

kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ muskān

hañste aur muskāte bachche bhārat des shaan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

kal ye mahakte phul banenge aaj hain nannhi kaliyan

saya un par kiye hue hain aashaon ki pariyan

zahrile kanTon se na uljhen ye nannhi si jaan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

nannhi munni komal kaliyan kahin na murjha jaen

KHushbu mahke kyari kyari mahken aur mahkaen

gulshan ke sab rakhwalon par farz hai un ka dhyan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

jiwan mein ujyala in se ye dharti ke tare

gore hain ya kale hain ye bachche pyare pyare

maon ki mamta se puchho sab hain ek saman

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

basti basti nagar nagar ye amrit jal barsao

jiwan jot jalao har su ilm ka dip jalao

jab hon baDe ye aaj ke bachche niklen sab widwan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

sehat ki sundarta paen sab ko rang-o-rup mile

taza hawa bharpur ghiza ho in ko sunahri dhup mile

phule phale parwan chaDhe ye bhaarat ki santan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

amn ki ThanDi chhanw mein khelen in ko sab ka pyar mile

dukh na inhen pahunchae koi in ko sukhi sansar mile

des ki sari maen dil mein rakhti hain arman

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now