chhuTTi ka zamana
schōl band haiñ sab ab sair ko hai jaanā
likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā
basta kitāb copy sab chhuTTiyāñ manā.eñ
bār-e-girāñ se in ke ham bhī najāt paa.eñ
baste meñ jo bañdhā hai us ko jahāñ meñ dekheñ
kyā kyā kahāñ chhupā hai aao pata lagā.eñ
sunte haiñ kuchh ajab hai duniyā kā kār-ḳhāna
likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā
aao suneñ kahānī koī na.ī purānī
naanī sunā.eñ yā phir daadī kī ho zabānī
ik rākshas bhī aa.e ho ḳhuub khīñchā-tānī
aisī laḌā.ī ho ki aa jaa.e yaad naanī
phir ḳhātma meñ aa kar dushman kā haar jaanā
likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā
bas khelne kī ḳhātir ye chhuTTiyāñ milī haiñ
har-sū khilāḌiyoñ kī kuchh Toliyāñ banī haiñ
lahrā rahe haiñ balle geñdeñ uchhal rahī haiñ
fōtbāl kī bhī Teameñ maidāñ meñ aa ga.ī haiñ
tagḌā muqābla hai kuchh kar ke hai dikhānā
likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā
har samt har Dagar par chhuTTī kā raaj qaa.em
ā.ankhoñ meñ jhilmilāte haiñ sair ke azā.em
jī chāhtā hai sadiyoñ zinda raheñ yahāñ ham
qaa.em rahe ye chhuTTī daa.im rahe ye mausam
bas soch hī to hai ye mumkin nahīñ ye maanā
likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā
school band hain sab ab sair ko hai jaana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
basta kitab copy sab chhuTTiyan manaen
bar-e-giran se in ke hum bhi najat paen
baste mein jo bandha hai us ko jahan mein dekhen
kya kya kahan chhupa hai aao pata lagaen
sunte hain kuchh ajab hai duniya ka kar-KHana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
aao sunen kahani koi nai purani
nani sunaen ya phir dadi ki ho zabani
ek rakshas bhi aae ho KHub khincha-tani
aisi laDai ho ki aa jae yaad nani
phir KHatma mein aa kar dushman ka haar jaana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
bas khelne ki KHatir ye chhuTTiyan mili hain
har-su khilaDiyon ki kuchh Toliyan bani hain
lahra rahe hain balle genden uchhal rahi hain
footbaal ki bhi Teamen maidan mein aa gai hain
tagDa muqabla hai kuchh kar ke hai dikhana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
har samt har Dagar par chhuTTi ka raj qaem
aaankhon mein jhilmilate hain sair ke azaem
ji chahta hai sadiyon zinda rahen yahan hum
qaem rahe ye chhuTTi daim rahe ye mausam
bas soch hi to hai ye mumkin nahin ye mana
likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.