computer
computer kā hai ye daur
ab jiine kā badlā taur
daftar daftar ghar ghar aaj
dekh lo computer kā raaj
qadam qadam par sub.h o shaam
computer hī aa.e kaam
us se ham kyuuñ hoñ mahrūm
jab computer kī hai dhuum
daur hamārā hai kuchh aur
computer sīkho fil-faur
chiiz banī hairat-añgez
us kī memory hai tez
harf sabhī aur sab a.adād
computer rakhtā hai yaad
ilm-o-fan se hai ābād
achchhā-ḳhāsā hai ustād
har bhāshā kar lo tahrīr
aur banā lo har tasvīr
us par kar lo head aur tail
phir khelo man-chāhe khel
na.ī chalā.ī us ne riit
us par bhī bajte haiñ giit
siikh ke computer bachcho
apne ḳhvāb ko sach kar lo
computer ka hai ye daur
ab jine ka badla taur
daftar daftar ghar ghar aaj
dekh lo computer ka raj
qadam qadam par subh o sham
computer hi aae kaam
us se hum kyun hon mahrum
jab computer ki hai dhum
daur hamara hai kuchh aur
computer sikho fil-faur
chiz bani hairat-angez
us ki memory hai tez
harf sabhi aur sab aadad
computer rakhta hai yaad
ilm-o-fan se hai aabaad
achchha-KHasa hai ustad
har bhasha kar lo tahrir
aur bana lo har taswir
us par kar lo head aur tail
phir khelo man-chahe khel
nai chalai us ne rit
us par bhi bajte hain git
sikh ke computer bachcho
apne KHwab ko sach kar lo
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.