main nahin chahta
maiñ nahīñ chāhtā koī bachcha
rail-gāḌī kā farsh
saaf kare
naT kī rassī pe ab nazar aa.e
jism ko moḌne kā fan sīkhe
sher ke muñh meñ haath ko Daale
tapte bhaTToñ kī iiñT ko Dho.e
hoTaloñ aur sharāb-ḳhānoñ kī
apne dāman se mez saaf kare
saañp ko rakh ke
ik piTāre meñ
shāh-rāhoñ pe bhiik bhī māñge
nāch-gāne se sab ko
ḳhush kar de
boot polish meñ ḳhuub māhir ho
maañ ke āñchal se duur ho jaa.e
baap ke saath kaam par jaa.e
maiñ to ye chāhtā huuñ har bachcha
apne bachpan meñ sirf bachcha ho
main nahin chahta koi bachcha
rail-gaDi ka farsh
saf kare
naT ki rassi pe ab nazar aae
jism ko moDne ka fan sikhe
sher ke munh mein hath ko Dale
tapte bhaTTon ki inT ko Dhoe
hoTalon aur sharab-KHanon ki
apne daman se mez saf kare
sanp ko rakh ke
ek piTare mein
shah-rahon pe bhik bhi mange
nach-gane se sab ko
KHush kar de
boot polish mein KHub mahir ho
man ke aanchal se dur ho jae
bap ke sath kaam par jae
main to ye chahta hun har bachcha
apne bachpan mein sirf bachcha ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.