Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mehnat karo

Mohammad Husain Azad

mehnat karo

Mohammad Husain Azad

hai imtihāñ sar par khaḌā mehnat karo mehnat karo

bāñdho kamar baiThe ho kyā mehnat karo mehnat karo

be-shak paḌhā.ī hai savā aur vaqt hai thoḌā rahā

hai aisī mushkil baat kyā mehnat karo mehnat karo

shikve shikāyat jo ki the tum ne kahe ham ne sune

jo kuchh huā achchhā huā mehnat karo mehnat karo

mehnat karo in.aam lo in.aam par ikrām lo

jo chāhoge mil jā.egā mehnat karo mehnat karo

jo baiTh jaa.eñ haar kar kah do unheñ lalkār kar

himmat kuuḌā maar kar mehnat karo mehnat karo

tadbīreñ saarī kar chuke bātoñ ke dariyā bah chuke

bak bak se ab kyā fā.eda mehnat karo mehnat karo

ye biij agar Dāloge tum dil se use loge tum

dekhoge phir is mazā mehnat karo mehnat karo

mehnat jo toḌ kar har shauq se muñh moḌ kar

kar doge dam meñ faisla mehnat karo mehnat karo

khetī ho saudāgarī ho bhiik ho chākarī

sab sabaq yaksāñ sunā mehnat karo mehnat karo

jis din baḌe tum ho ga.e duniyā ke dhandoñ meñ phañse

paḌhne phir fursat kujā mehnat karo mehnat karo

bachpan rahā kis bhalā anjām ko socho zarā

ye to kaho khāoge kyā mehnat karo mehnat karo

hai imtihan sar par khaDa mehnat karo mehnat karo

bandho kamar baiThe ho kya mehnat karo mehnat karo

be-shak paDhai hai sawa aur waqt hai thoDa raha

hai aisi mushkil baat kya mehnat karo mehnat karo

shikwe shikayat jo ki the tum ne kahe hum ne sune

jo kuchh hua achchha hua mehnat karo mehnat karo

mehnat karo inam lo inam par ikram lo

jo chahoge mil jaega mehnat karo mehnat karo

jo baiTh jaen haar kar kah do unhen lalkar kar

himmat ka kuDa mar kar mehnat karo mehnat karo

tadbiren sari kar chuke baaton ke dariya bah chuke

bak bak se ab kya faeda mehnat karo mehnat karo

ye bij agar Daloge tum dil se use pa loge tum

dekhoge phir is ka maza mehnat karo mehnat karo

mehnat jo ki ji toD kar har shauq se munh moD kar

kar doge dam mein faisla mehnat karo mehnat karo

kheti ho ya saudagari ho bhik ho ya chaakari

sab ka sabaq yaksan suna mehnat karo mehnat karo

jis din baDe tum ho gae duniya ke dhandon mein phanse

paDhne ki phir fursat kuja mehnat karo mehnat karo

bachpan raha kis ka bhala anjam ko socho zara

ye to kaho khaoge kya mehnat karo mehnat karo

Source :
  • Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 270)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
  • Edition : 1998
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now