qasam us badan ki
qasam us badan kī
aur qasam us badan par khile phūloñ kī
rut bahār kī hai aur havā kī rānoñ meñ mahak khilī hai
ab tak...
brassiere meñ tanī un chhātiyoñ se
parinde apnī choñchoñ meñ sher bhar ke laate haiñ
aur mohabbat kī abdiyat ke giit gaate haiñ.''
lai meñ jin kī harārat un shaboñ kī hai
guzrīñ jo qurbat meñ tere badan kī
gahrī āñkhoñ vaalī ġham-gusār shabeñ
batn meñ jin ke sadiyāñ gūñjtī thiiñ
lekin... abdiyat kis ko thī
mā-sivā us lahrātī jumbish ke
(jaise tānpūre pe ġhair irādatan paḌ ga.ī ho)
aur tā-der dard meñ Duubī āvāz
tere badan se ubhartī thī
ye dard kyā thaa?
ki har sub.h lazzat jis kī laboñ pe
papḌiyoñ kī mānind jamī hotī
tere laboñ pe
mere laboñ pe
bahār bahut thī chār-sū bāġhoñ meñ
aur saḌkoñ kī vīrānī meñ
shāmeñ jo īstāda thiiñ
dīvāroñ kī mānind hamāre mābain tanī rahīñ
tārīk shaboñ meñ jab
sarmā kī tez havā.eñ chaltī thiiñ
udāsī terī piñDliyoñ meñ sarsarātī thī
tere kāñpte badan kī ḳhushbū
lahariye letī sarshārī meñ
yuuñ Dūbtī ubhartī thī
goyā...!
aur merī uñgliyoñ kī poroñ meñ sulagtī thī jo aag
terī chhātiyoñ kī golā.iyoñ ko māptī
paimā.ish tere badan kī thī
paimā.ish zindagī kī
din biit ga.e!!
aur ḳhvāb hamāre apne apne badan kināre
jalte rahe charāġhoñ kī tarah
aur maiñ ki ab tak
yaad ke peḌoñ se mohabbatoñ ke phuul chun chun kar
dil ke tasht meñ dhartā jā.ūñ
terī maujūdgī kī talab meñ
qasam us badan ki
aur qasam us badan par khile phulon ki
rut bahaar ki hai aur hawa ki ranon mein mahak khili hai
ab tak
brassiere mein tani un chhatiyon se
parinde apni chonchon mein sher bhar ke late hain
aur mohabbat ki abdiyat ke git gate hain
lai mein jin ki hararat un shabon ki hai
guzrin jo qurbat mein tere badan ki
gahri aankhon wali gham-gusar shaben
batn mein jin ke sadiyan gunjti thin
lekin abdiyat kis ko thi
ma-siwa us lahraati jumbish ke
(jaise tanpure pe ghair iradatan paD gai ho)
aur ta-der dard mein Dubi aawaz
tere badan se ubharti thi
ye dard kya tha?
ki har subh lazzat jis ki labon pe
papDiyon ki manind jami hoti
tere labon pe
mere labon pe
bahaar bahut thi chaar-su baghon mein
aur saDkon ki virani mein
shamen jo istada thin
diwaron ki manind hamare mabain tani rahin
tarik shabon mein jab
sarma ki tez hawaen chalti thin
udasi teri pinDliyon mein sarsaraati thi
tere kanpte badan ki KHushbu
lahariye leti sarshaari mein
yun Dubti ubharti thi
goya!
aur meri ungliyon ki poron mein sulagti thi jo aag
teri chhatiyon ki golaiyon ko mapti
paimaish tere badan ki thi
paimaish zindagi ki
din bit gae!!
aur KHwab hamare apne apne badan kinare
jalte rahe charaghon ki tarah
aur main ki ab tak
yaad ke peDon se mohabbaton ke phul chun chun kar
dil ke tasht mein dharta jaun
teri maujudgi ki talab mein
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 48)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.