Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar

MORE BYNazeer Akbarabadi

    gulshan-e-ālam meñ jab tashrīf laatī hai bahār

    rañg-o-bū ke husn kyā kyā kuchh dikhātī hai bahār

    sub.h ko kar nasīm dil-kushā har shāḳh par

    tāza-tar kis kis tarah ke gul khilātī hai bahār

    naunihāloñ dikhā kar dam-ba-dam nashv-o-numā

    jism meñ rūh-e-ravāñ kyā kyā baḌhātī hai bahār

    bulbuleñ chahkārtī haiñ shāḳh-e-gul par jā-ba-jā

    bulbuleñ kyā fil-haqīqat chahchahātī hai bahār

    hauz-o-favvāroñ ko de kar aabrū phir lutf se

    kyā mo.attar farsh sabze bichhātī hai bahār

    jumbish-e-bād-e-sabā se ho ke ham-dosh-e-nashāt

    saath har sabze ke kyā kyā lahlahātī hai bahār

    ḳhalq ko har lahza apne husn rañgat dikhā

    be-takalluf kyā har dil meñ samātī hai bahār

    majma.a-e-ḳhūbāñ hujūm-e-āshiqāñ aur josh-e-gul

    dekh in rañgoñ ko kyā kyā khilkhilātī hai bahār

    gul-ruḳhoñ dekh kar gul-bāziyāñ har dam nazīr

    gul idhar ḳhandāñ udhar dhūmeñ machātī hai bahār

    gulshan-e-alam mein jab tashrif lati hai bahaar

    rang-o-bu ke husn kya kya kuchh dikhati hai bahaar

    subh ko la kar nasim dil-kusha har shaKH par

    taza-tar kis kis tarah ke gul khilati hai bahaar

    naunihaalon ki dikha kar dam-ba-dam nashw-o-numa

    jism mein ruh-e-rawan kya kya baDhati hai bahaar

    bulbulen chahkarti hain shaKH-e-gul par ja-ba-ja

    bulbulen kya fil-haqiqat chahchahati hai bahaar

    hauz-o-fawwaron ko de kar aabru phir lutf se

    kya moattar farsh sabze ka bichhati hai bahaar

    jumbish-e-baad-e-saba se ho ke ham-dosh-e-nashat

    sath har sabze ke kya kya lahlahati hai bahaar

    KHalq ko har lahza apne husn ki rangat dikha

    be-takalluf kya hi har dil mein samati hai bahaar

    majma-e-KHuban hujum-e-ashiqan aur josh-e-gul

    dekh in rangon ko kya kya khilkhilati hai bahaar

    gul-ruKHon ki dekh kar gul-baziyan har dam nazir

    gul idhar KHandan udhar dhumen machati hai bahaar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now