Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaid mein raqs

Kishwar Naheed

qaid mein raqs

Kishwar Naheed

sab ke liye nā-pasandīda uḌtī makkhī

kitnī āzādī se mere muñh aur mere hāthoñ par baiThtī hai

aur is roz-marra se āzād hai jis meñ maiñ qaid huuñ

maiñ to sub.h ko ghar bhar ḳhaak sameTtī jaatī huuñ

aur merā chehra ḳhaak pahantā jaatā hai

dopahar ko dhuup aur chūlhe aag

ye donoñ mil kar vaar kartī haiñ

gardan pe chhurī aur añgāra āñkheñ

ye merā shaam roz-marra hai

raat bhar shauhar ḳhvāhish mashaqqat

merī niiñd hai

merā andar tumhārā zahr

har tiin mahīne ba.ad nikāl pheñktā hai

tum baap nahīñ ban sake

merā bhī nahīñ kartā ki tum mere bachche ke baap bano

mirā badan merī ḳhvāhish ehtirām kartā hai

maiñ apne niilo niil badan se pyaar kartī huuñ

magar mujhe makkhī jitnī āzādī bhī tum kahāñ de sakoge

tum ne aurat ko makkhī banā kar botal meñ band karnā sīkhā hai

sab ke liye na-pasandida uDti makkhi

kitni aazadi se mere munh aur mere hathon par baiThti hai

aur is roz-marra se aazad hai jis mein main qaid hun

main to subh ko ghar bhar ki KHak sameTti jati hun

aur mera chehra KHak pahanta jata hai

dopahar ko dhup aur chulhe ki aag

ye donon mil kar war karti hain

gardan pe chhuri aur angara aankhen

ye mera sham ka roz-marra hai

raat bhar shauhar ki KHwahish ki mashaqqat

meri nind hai

mera andar tumhaara zahr

har tin mahine baad nikal phenkta hai

tum bap nahin ban sake

mera bhi ji nahin karta ki tum mere bachche ke bap bano

mera badan meri KHwahish ka ehtiram karta hai

main apne nilo nil badan se pyar karti hun

magar mujhe makkhi jitni aazadi bhi tum kahan de sakoge

tum ne aurat ko makkhi bana kar botal mein band karna sikha hai

Source :
  • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 117)
  • Author : Zahid Hasan
  • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
  • Edition : 2002

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now