Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qasam us badan ki

Zahid Hasan

qasam us badan ki

Zahid Hasan

qasam us badan

aur qasam us badan par khile phūloñ

rut bahār hai aur havā rānoñ meñ mahak khilī hai

ab tak...

brassiere meñ tanī un chhātiyoñ se

parinde apnī choñchoñ meñ sher bhar ke laate haiñ

aur mohabbat abdiyat ke giit gaate haiñ.''

lai meñ jin harārat un shaboñ hai

guzrīñ jo qurbat meñ tere badan

gahrī āñkhoñ vaalī ġham-gusār shabeñ

batn meñ jin ke sadiyāñ gūñjtī thiiñ

lekin... abdiyat kis ko thī

mā-sivā us lahrātī jumbish ke

(jaise tānpūre pe ġhair irādatan paḌ ga.ī ho)

aur tā-der dard meñ Duubī āvāz

tere badan se ubhartī thī

ye dard kyā thaa?

ki har sub.h lazzat jis laboñ pe

papḌiyoñ mānind jamī hotī

tere laboñ pe

mere laboñ pe

bahār bahut thī chār-sū bāġhoñ meñ

aur saḌkoñ vīrānī meñ

shāmeñ jo īstāda thiiñ

dīvāroñ mānind hamāre mābain tanī rahīñ

tārīk shaboñ meñ jab

sarmā tez havā.eñ chaltī thiiñ

udāsī terī piñDliyoñ meñ sarsarātī thī

tere kāñpte badan ḳhushbū

lahariye letī sarshārī meñ

yuuñ Dūbtī ubhartī thī

goyā...!

aur merī uñgliyoñ poroñ meñ sulagtī thī jo aag

terī chhātiyoñ golā.iyoñ ko māptī

paimā.ish tere badan thī

paimā.ish zindagī

din biit ga.e!!

aur ḳhvāb hamāre apne apne badan kināre

jalte rahe charāġhoñ tarah

aur maiñ ki ab tak

yaad ke peḌoñ se mohabbatoñ ke phuul chun chun kar

dil ke tasht meñ dhartā jā.ūñ

terī maujūdgī talab meñ

qasam us badan ki

aur qasam us badan par khile phulon ki

rut bahaar ki hai aur hawa ki ranon mein mahak khili hai

ab tak

brassiere mein tani un chhatiyon se

parinde apni chonchon mein sher bhar ke late hain

aur mohabbat ki abdiyat ke git gate hain

lai mein jin ki hararat un shabon ki hai

guzrin jo qurbat mein tere badan ki

gahri aankhon wali gham-gusar shaben

batn mein jin ke sadiyan gunjti thin

lekin abdiyat kis ko thi

ma-siwa us lahraati jumbish ke

(jaise tanpure pe ghair iradatan paD gai ho)

aur ta-der dard mein Dubi aawaz

tere badan se ubharti thi

ye dard kya tha?

ki har subh lazzat jis ki labon pe

papDiyon ki manind jami hoti

tere labon pe

mere labon pe

bahaar bahut thi chaar-su baghon mein

aur saDkon ki virani mein

shamen jo istada thin

diwaron ki manind hamare mabain tani rahin

tarik shabon mein jab

sarma ki tez hawaen chalti thin

udasi teri pinDliyon mein sarsaraati thi

tere kanpte badan ki KHushbu

lahariye leti sarshaari mein

yun Dubti ubharti thi

goya!

aur meri ungliyon ki poron mein sulagti thi jo aag

teri chhatiyon ki golaiyon ko mapti

paimaish tere badan ki thi

paimaish zindagi ki

din bit gae!!

aur KHwab hamare apne apne badan kinare

jalte rahe charaghon ki tarah

aur main ki ab tak

yaad ke peDon se mohabbaton ke phul chun chun kar

dil ke tasht mein dharta jaun

teri maujudgi ki talab mein

Source :
  • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 48)
  • Author : Zahid Hasan
  • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
  • Edition : 2002

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now