Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shofer

Shaad Aarfi

shofer

Shaad Aarfi

khaT... khaT... kaun? sabīha! kaise? yūñhī, koī kaam nahīñ

pichhlī raat.. bhyānak garage.. kyā kuchh ho anjām.. nahīñ

merā zimma.. maiñ bhugtūñgī.. tum par kuchh ilzām... nahīñ

ham haiñ us aḳhlāq ke pairav, ham haiñ us tahzīb ke log

jis meñ iffat ik ''mafrūza'' ismat jis meñ '''zehnī rog''

jazboñ par pahre biThlānā kyā ''saudā-e-ḳhām'' nahīñ?

do bachchoñ ke baap.. to kyā hai? ''dil ho insān javān''

tum bhī aise ban jaao jaise ''mañjhle bhaa.ī jān...''

saalī aur salaj par laTTū, biivī se hammām nahīñ

un se.... vo.... tahzīb se ūñchī, chhoTe bhaa.ī se vaqtī chaah

shauhar aa.e na aa.e lekin devar ''taktī haiñ rāh''

ḳhvāhish takmīl bhī jārī, ''shādī bhī nākām nahīñ''

naukar aur namak aur mazhab... in tavīloñ se baaz aao

mardoñ aisī nekī par aa jaatā hai mujh ko taav

aurat ke hoñToñ par Thappa ab maqbūl-e-ām nahīñ

hafta bhar meñ ik din ''aisī laġhzish'' koī aib nahīñ

zāhir hai paapā mammy ko hāsil ''ilm-e-ġhaib'' nahīñ

kaalī rātoñ bātoñ se vāqif ''sub.h-o-shām'' nahīñ

jaatī huuñ, ghabrāte kyuuñ ho? kyā añdhiyārī ghor nahīñ?

do dil raazī ke baare meñ qaazī kuchh zor nahīñ

lo... ye das note... tumhārī ''ujrat'' hai in.aam nahīñ

khaT khaT kaun? sabiha! kaise? yunhi, koi kaam nahin

pichhli raat bhyanak garage kya kuchh ho anjam nahin

mera zimma main bhugtungi tum par kuchh ilzam nahin

hum hain us aKHlaq ke pairaw, hum hain us tahzib ke log

jis mein iffat ek mafruza ismat jis mein 'zehni rog

jazbon par pahre biThlana kya sauda-e-KHam nahin?

do bachchon ke bap to kya hai? dil ka ho insan jawan

tum bhi aise ban jao na jaise manjhle bhai jaan

sali aur salaj par laTTu, biwi se hammam nahin

un se wo tahzib se unchi, chhoTe bhai se waqti chah

shauhar aae na aae lekin dewar ki takti hain rah

KHwahish ki takmil bhi jari, shadi bhi nakaam nahin

naukar aur namak aur mazhab in tawilon se baz aao

mardon ki aisi neki par aa jata hai mujh ko taw

aurat ke honTon par Thappa ab maqbul-e-am nahin

hafta bhar mein ek din aisi laghzish koi aib nahin

zahir hai papa mammy ko hasil ilm-e-ghaib nahin

kali raaton ki baaton se waqif subh-o-sham nahin

jati hun, ghabraate kyun ho? kya andhiyari ghor nahin?

do dil raazi ke bare mein qazi ka kuchh zor nahin

lo ye das ka note tumhaari ujrat hai inam nahin

Source :
  • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 68)
  • Author : Zahid Hasan
  • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
  • Edition : 2002

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now