Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

targhib aur uske baad

Akhtarul Iman

targhib aur uske baad

Akhtarul Iman

tarġhīb:

phir maiñ kaam meñ lag jā.ūñgā aa fursat hai pyaar kareñ

nāgin bal khātī uTh aur merī god meñ aan machal

bhed-bhāv bastī meñ koī bhed-bhāv naam na le

hastī par yuuñ chhā baḌh kar sharminda ho jaa.e ajal

chhoḌ ye laaj ghūñgat kab tak rahegā in āñkhoñ ke saath

chaḌhtī raat hai Dhaltā sūraj khaḌī khaḌī mat paañv mal

phir ye jaadū so jā.egā samay jo biitā gahrī niiñd

jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ik lamha ek ik pal

bin chhūī miTTī ḳhushbū us sūñdhā sūñdhā-pan

sab kuchh chhin jā.egā ik din ab bhī vaqt hai dekh sambhal

narm ragoñ meñ mīThī mīThī Tiis jo ye uThtī hai aaj

baḌhtī mauj relā hai ik, Tiis na uThegī kal

mast rasīlī āñkhoñ se ye chhalkī chhalkī ik shai

jis ne aaj apnāyā is ko samjho us ke car saphal

maiñ tere sho.aloñ se khelūñ bhī merī aag se khel

maiñ bhī terī niiñd chūrā.ūñ bhī merī nīndeñ chhal

narm havā ke jhoñkoñ se khultī hai phūloñ aañkh

varna barsoñ saath rahe haiñ Thahrā paanī band kañval!

us ke ba.ad:

bhīgī raat nashsha TuuTā Duub gayā hai chaḌhtā chāñd

thake thake haiñ a.azā saare aur huiiñ palkeñ bojhal

shabnam ras ga.iiñ kirneñ din rañg chamak uTThā

guuñj hai bhañvroñ kānoñ meñ par haiñ āñkhoñ se ojhal

husn aur ishq is duniyā meñ kis ne kis saath diyā

maiñ apne raste jaatā huuñ aur apnī Dagar par chal!

targhib:

phir main kaam mein lag jaunga aa fursat hai pyar karen

nagin si bal khati uTh aur meri god mein aan machal

bhed-bhaw ki basti mein koi bhed-bhaw ka nam na le

hasti par yun chha ja baDh kar sharminda ho jae ajal

chhoD ye laj ka ghungat kab tak rahega in aankhon ke sath

chaDhti raat hai Dhalta suraj khaDi khaDi mat panw mal

phir ye jadu so jaega samay jo bita gahri nind

jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ek lamha ek ek pal

bin chhui miTTi ki KHushbu us ka sundha sundha-pan

sab kuchh chhin jaega ek din ab bhi waqt hai dekh sambhal

narm ragon mein miThi miThi Tis jo ye uThti hai aaj

baDhti mauj ka rela hai ik, Tis na uThegi kal

mast rasili aankhon se ye chhalki chhalki si ek shai

jis ne aaj apnaya is ko samjho us ke car saphal

main tere shoalon se khelun tu bhi meri aag se khel

main bhi teri nind churaun tu bhi meri ninden chhal

narm hawa ke jhonkon hi se khulti hai phulon ki aankh

warna barson sath rahe hain Thahra pani band kanwal!

us ke baad:

bhigi raat ka nashsha TuTa Dub gaya hai chaDhta chand

thake thake hain aaza sare aur huin palken bojhal

shabnam ka ras pi gain kirnen din ka rang chamak uTTha

gunj hai bhanwron ki kanon mein par hain aankhon se ojhal

husn aur ishq ki is duniya mein kis ne kis ka sath diya

main apne raste jata hun aur tu apni Dagar par chal!

Source :
  • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 20)
  • Author : Zahid Hasan
  • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
  • Edition : 2002

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now