Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand

MORE BYJaved Rasheed Amir

    vo niile āsmān par safed halqa

    jise sab chāñd kahte haiñ

    jise hind-o-pāk ke bachche maamā samajhte haiñ salām karte haiñ

    jise sho.arā

    hasīn chehroñ se ta.abīr karte haiñ

    vo niile āsmān par safed halqa

    chamaktā hai jo ghaTtā baḌhtā bhī hai

    ḳhalā muñDeroñ pe chaltā bhī hai

    ḳhayāl-e-mahbūb se

    shab-e-tanhā.ī ko jagmagātā bhī hai āñsūoñ meñ jhilmilātā bhī hai

    vo niile āsmān par safed halqa

    ziyā jis yādoñ darpan dikhātī rahī

    javāñ dil dhaḌkan jagātī rahī

    ḳhayāloñ meñ

    kisī ko bulātī rahī jazbāt gudgudātī rahī

    vo niile āsmān par safed halqa

    talāsh meñ jis ghire

    butoñ tarah be-kahe be-sune

    hayāt-o-maut se be-ḳhabar

    hazāroñ sciencedāñ us pe jaane ko koshāñ rahe

    vo niile āsmān par safed halqa

    dikhā.ī dene ke bāvajūd bhī jo sab

    bas ik ḳhayāl thā tasavvur thā

    achānak ek din

    usī insāñ ke qadmoñ ke nīche aa gayā

    vo niile āsmān par safed halqa

    na jis par koī zindagī hai

    na husn-e-fitrat ridā oḌhnī hai

    jahāñ sirf ḳhāmushī hai

    vo niile āsmān par safed halqa

    haqīqat jis sab samajh meñ aa ga.ī phir bhī

    kisī shā.ir ne kyoñ apne mahbūb us se misāl

    nazar meñ us vo hasīñ bhī kyā chāñd jaisā hai jahāñ kuchh bhī nahīñ

    jahāñ hai bas chand lamhoñ chāñdnī

    wo nile aasman par safed halqa

    jise sab chand kahte hain

    jise hind-o-pak ke bachche mama samajhte hain salam karte hain

    jise shoara

    hasin chehron se tabir karte hain

    wo nile aasman par safed halqa

    chamakta hai jo ghaTta baDhta bhi hai

    KHala ki munDeron pe chalta bhi hai

    KHayal-e-mahbub se

    shab-e-tanhai ko jagmagata bhi hai aansuon mein jhilmilata bhi hai

    wo nile aasman par safed halqa

    ziya jis ki yaadon ka darpan dikhati rahi

    jawan dil ki dhaDkan jagati rahi

    KHayalon mein

    kisi ko bulati rahi jazbaat gudgudati rahi

    wo nile aasman par safed halqa

    talash mein jis ki ghire

    buton ki tarah be-kahe be-sune

    hayat-o-maut se be-KHabar

    hazaron sciencedan us pe jaane ko koshan rahe

    wo nile aasman par safed halqa

    dikhai dene ke bawajud bhi jo sab ka

    bas ek KHayal tha tasawwur tha

    achanak ek din

    usi insan ke qadmon ke niche aa gaya

    wo nile aasman par safed halqa

    na jis par koi zindagi hai

    na husn-e-fitrat ki rida ya oDhni hai

    jahan sirf KHamushi hai

    wo nile aasman par safed halqa

    haqiqat jis ki sab samajh mein aa gai phir bhi

    kisi shair ne kyon apne mahbub ki us se misal di

    nazar mein us ki wo hasin bhi kya chand jaisa hai jahan kuchh bhi nahin

    jahan hai bas chand lamhon ki chandni

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now