Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaarat ke saputon se KHitab

Lal Chand Falak

bhaarat ke saputon se KHitab

Lal Chand Falak

bhārat ke ai sapūto himmat dikhā.e jaao

duniyā ke dil pe apnā sikka biThā.e jaao

murda-dilī jhanDā pheñko zamīn par tum

zinda-dilī har-sū parcham uḌaa.e jaao

laao na bhuul kar bhī dil meñ ḳhayāl-e-pastī

ḳhush-hālī-e-vatan beḌā uThā.e jaao

tan-man miTā.e jaao tum nām-e-qaumiyat par

rāh-e-vatan meñ apnī jāneñ laḌā.e jaao

kam-himmatī dil se nām-o-nishāñ miTā do

jur.at lauh-e-dil par naqsha jamā.e jaao

ai hindūo musalmāñ aapas meñ in dinoñ tum

nafrat ghaTā.e jaao ulfat baḌhā.e jaao

'bikram' rāj-nītī 'akbar' policy

saare jahāñ ke dil par azmat biThā.e jaao

jis kashmakash ne tum ko hai is qadar miTāyā

tum se ho jis qadar tum us ko miTā.e jaao

jin ḳhāna-jañgiyoñ ne ye din tumheñ dikhā.e

ab un yaad apne dil meñ bhulā.e jaao

be-ḳhauf gaa.e jaao ''hindostāñ hamārā''

aur ''vande-mātaram'' ke na.are lagā.e jaao

jin desh sevakoñ se hāsil hai faiz tum ko

in desh sevakoñ jai jai manā.e jaao

jis mulk ho khāte din raat āb-o-dāna

us malak par saroñ bheñTeñ chaḌhā.e jaao

phāñsī jail Dar dil se 'falak' miTā kar

ġhairoñ ke muñh pe sachchī bāteñ sunāte jaao

bhaarat ke ai saputo himmat dikhae jao

duniya ke dil pe apna sikka biThae jao

murda-dili ka jhanDa phenko zamin par tum

zinda-dili ka har-su parcham uDae jao

lao na bhul kar bhi dil mein KHayal-e-pasti

KHush-haali-e-watan ka beDa uThae jao

tan-man miTae jao tum nam-e-qaumiyat par

rah-e-watan mein apni jaanen laDae jao

kam-himmati ka dil se nam-o-nishan miTa do

jurat ka lauh-e-dil par naqsha jamae jao

ai hinduo musalman aapas mein in dinon tum

nafrat ghaTae jao ulfat baDhae jao

'bikram' ki raj-niti 'akbar' ki policy ki

sare jahan ke dil par azmat biThae jao

jis kashmakash ne tum ko hai is qadar miTaya

tum se ho jis qadar tum us ko miTae jao

jin KHana-jangiyon ne ye din tumhein dikhae

ab un ki yaad apne dil mein bhulae jao

be-KHauf gae jao hindostan hamara

aur wande-mataram ke nare lagae jao

jin desh sewakon se hasil hai faiz tum ko

in desh sewakon ki jai jai manae jao

jis mulk ka ho khate din raat aab-o-dana

us malak par saron ki bhenTen chaDhae jao

phansi ka jail ka Dar dil se 'falak' miTa kar

ghairon ke munh pe sachchi baaten sunate jao

Source :
  • Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 470)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
  • Edition : 1998

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now