Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhabbis january

Tilok Chand Mahroom

chhabbis january

Tilok Chand Mahroom

ye daur-e-nau-mubārak farḳhanda-aḳhtarī

jamhūriyat āġhāz anjām qaisarī

kyā jāñ-fazā hai jalva ḳhurshīd-e-ḳhāvarī

har ik shuā-e-raqsāñ misra.a hai anvarī

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

bhārat bartarī meñ kis ko kalām hai ab

thā jo rahīn-e-pastī gardūñ-maqām hai ab

jamhūriyat pe qaa.em saarā nizām hai ab

aalā hai hai adnā bā-ehtirām hai ab

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

sadiyoñ ke band TuuTe āzād hoga.e ham

qaid-e-girāñ se chhūTe dil-e-shād ho ga.e ham

be-ḳhauf be-niyāz-e-sayyād ho ga.e ham

phir bas gayā nasheman ābād hoga.e ham

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

jo muztarib thī dil meñ vo aarzū bar aa.ī

takmīl-e-ārzū ne dil ḳhalish miTā.ī

jis mulk par ġhulāmī ban ban ke shaam chhā.ī

sub.h-e-masarrat us ko allāh ne dikhā.ī

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

ta.abīr-e-ḳhvāb-e-'gāñdhī' tafsīr-e-hāl-e-'nehrū'

'āzād' riyāzat 'sardār' tagāpū

raḳhshāñ hai hurriyat zebā-nigār dil-jū

taskīn-e-qalb muslim ārām-e-jān-e-hindū

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

qurbāñ hue jo is par rūheñ haiñ shaad un

ham jis se bahra-var haiñ vo hai murād un

hai bas-ki sarfaroshī shāyān-e-dād un

bhārat is ḳhushī meñ shāmil hai yaad un

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

āzād ho gayā jab hindostāñ hamārā

hai suud ke barābar har ik ziyāñ hamārā

manzil pe aan pahuñchā jab kārvāñ hamārā

kyuuñ ho ġhubār-e-manzil ḳhātir-nishāñ hamārā

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

aivān-e-farruḳhī tāmīr-e-nau mubārak

ā.īn-e-zindagī tadbīr-e-nau mubārak

har zarra-e-vatan ko tanvīr-e-nau mubārak

bhārat ke har bashar ko tauqīr-e-nau mubārak

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

bhārat azm hai ye taufīq ai ḳhudā de

duniyā se īn-o-āñ tafrīq ko miTā de

amn-o-amāñ se rahnā har mulk ko sikhā de

har qaum shukriye meñ har saal ye sadā de

roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january

daur-e-jadīd laayā bhārat bartarī

ye daur-e-nau-mubarak farKHanda-aKHtari ka

jamhuriyat ka aaghaz anjam qaisari ka

kya jaan-faza hai jalwa KHurshid-e-KHawari ka

har ek shua-e-raqsan misra hai anwari ka

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

bhaarat ki bartari mein kis ko kalam hai ab

tha jo rahin-e-pasti gardun-maqam hai ab

jamhuriyat pe qaem sara nizam hai ab

aala hai ya hai adna ba-ehtiram hai ab

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

sadiyon ke band TuTe aazad hogae hum

qaid-e-giran se chhuTe dil-e-shad ho gae hum

be-KHauf be-niyaz-e-sayyaad ho gae hum

phir bas gaya nasheman aabaad hogae hum

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

jo muztarib thi dil mein wo aarzu bar aai

takmil-e-arzu ne dil ki KHalish miTai

jis mulk par ghulami ban ban ke sham chhai

subh-e-masarrat us ko allah ne dikhai

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

tabir-e-KHwab-e-'gandhi' tafsir-e-haal-e-'nehru'

'azad' ki riyazat 'sardar' ki tagapu

raKHshan hai hurriyat ka zeba-nigar dil-ju

taskin-e-qalb muslim aaram-e-jaan-e-hindu

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

qurban hue jo is par ruhen hain shad un ki

hum jis se bahra-war hain wo hai murad un ki

hai bas-ki sarfaroshi shayan-e-dad un ki

bhaarat ki is KHushi mein shamil hai yaad un ki

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

aazad ho gaya jab hindostan hamara

hai sud ke barabar har ek ziyan hamara

manzil pe aan pahuncha jab karwan hamara

kyun ho ghubar-e-manzil KHatir-nishan hamara

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

aiwan-e-farruKHi ki tamir-e-nau mubarak

aain-e-zindagi ki tadbir-e-nau mubarak

har zarra-e-watan ko tanwir-e-nau mubarak

bhaarat ke har bashar ko tauqir-e-nau mubarak

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

bhaarat ka azm hai ye taufiq ai KHuda de

duniya se in-o-an ki tafriq ko miTa de

amn-o-aman se rahna har mulk ko sikha de

har qaum shukriye mein har sal ye sada de

roz-e-said aaya chhabbis january ka

daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka

Source :
  • Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 437)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
  • Edition : 1982,Editon II 2010

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now