Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

east india company ke farzandon se KHitab

Josh Malihabadi

east india company ke farzandon se KHitab

Josh Malihabadi

kis zabāñ se kah rahe ho aaj tum saudāgaro

dahr meñ insāniyat ke naam ko ūñchā karo

jis ko sab kahte haiñ hitler bheḌiyā hai bheḌiyā

bheḌiye ko maar do golī pa.e-amn-o-baqā

bāġh-e-insānī meñ chalne pe hai bād-e-ḳhizāñ

ādamiyyat le rahī hai hichkiyoñ par hichkiyāñ

haath hai hitler raḳhsh-e-ḳhud-sarī baag par

teġh paanī chhiḌak do germany aag par

saḳht hairāñ huuñ ki mahfil meñ tumhārī aur ye zikr

nau-e-insānī ke mustaqbil ab karte ho fikr

jab yahāñ aa.e the tum saudāgarī ke vāste

nau-e-insānī ke mustaqbil se kiyā vāqif na the

hindiyoñ ke jism meñ kyā rūh-e-āzādī na thī

sach batāo kyā vo insānoñ ābādī na thī

apne zulm-e-be-nihāyat fasāna yaad hai

company phir vo daur-e-mujrimāna yaad hai

lūTte phirte the jab tum kārvāñ-dar-kārvāñ

sar-barahna phir rahī thī daulat-e-hindostāñ

dast-kāroñ ke añgūThe kāTte phirte the tum

sard lāshoñ se gaḌhoñ ko pāTte phirte the tum

san.at-e-hindostāñ par maut thī chhā.ī huī

maut bhī kaisī tumhāre haat laa.ī huī

allāh allāh kis qadar insāf ke tālib ho aaj

mīr-ja.afar qasam kyā dushman-e-haq thā 'sirāj'

kyā avadh begamoñ bhī satānā yaad hai

yaad hai jhāñsī raanī zamāna yaad hai

hijrat-e-sultān-e-dehlī samāñ bhī yaad hai

sher-dil 'Tīpū' ḳhūnīñ dāstāñ bhī yaad hai

tīsare faaqe meñ ik girte hue ko thāmne

kas ke tum laa.e the sar shāh-e-zafar ke sāmne

yaad to hogī vo maTiyā-burj bhī dāstāñ

ab bhī jis ḳhaak se uThtā hai rah rah kar dhuāñ

tum ne qaisar-e-bāġh ko dekhā to hogā bārhā

aaj bhī aatī hai jis se haa.e 'aḳhtar' sadā

sach kaho kyā hāfize meñ hai vo zulm-e-be-panāh

aaj tak ragōn meñ ik qabr hai jis gavāh

zehn meñ hogā ye taaza hindiyoñ daaġh bhī

yaad to hogā tumheñ jallianwala-bagh bhī

pūchh lo is se tumhārā naam kyuuñ tābinda hai

'dyer'-e-gurg-e-dahan-ālūd ab bhī zinda hai

vo 'bhagat-singh' ab bhī jis ke ġham meñ dil nāshād hai

us gardan meñ jo Daalā thā vo phandā yaad hai

ahl-e-āzādī rahā karte the kis hanjār se

pūchh lo ye qaid-ḳhānoñ ke dar-o-dīvār se

ab bhī hai mahfūz jis par tantana sarkār

aaj bhī gūñjī huī hai jin meñ koḌoñ sadā

aaj kashtī amn ke amvāj par khete ho kyuuñ

saḳht hairāñ huuñ ki ab tum dars-e-haq dete ho kyuuñ

ahl-e-quvvat dām-e-haq meñ to kabhī aate nahīñ

''bankī'' aḳhlāq ko ḳhatre meñ bhī laate nahīñ

lekin aaj aḳhlāq talqīn farmāte ho tum

ho na ho apne meñ ab quvvat nahīñ paate ho tum

ahl-e-haq raushan-nazar haiñ ahl-e-bātin kor haiñ

ye to haiñ aqvāl un qaumoñ ke jo kamzor haiñ

aaj shāyad manzil-e-quvvat meñ tum rahte nahīñ

jis lāThī us bhaiñs ab kis liye kahte nahīñ

kyā kahā insāf hai insāñ farz-e-avvalīñ

kyā fasād-o-zulm ab tum meñ kas baaqī nahīñ

der se baiThe ho naḳhl-e-rāstī chhāñv meñ

kyā ḳhudā-nā-karda kuchh moch aa ga.ī hai paañv meñ

guuñj Tāpoñ na ābādī na vīrāne meñ hai

ḳhair to hai asp-e-tāzī kyā shifā-ḳhāne meñ hai

aaj kal to har nazar meñ rahm andāz hai

kuchh tabī.at kyā nasīb-e-dushmanāñ nā-sāz hai

saañs kyā ukhḌī ki haq ke naam par marne lage

nau-e-insāñ havā-ḳhvāhī dam bharne lage

zulm bhūle rāgnī insāf gaane lage

lag ga.ī hai aag kyā ghar meñ ki chillāne lage

mujrmoñ ke vāste zebā nahīñ ye shor-o-shain

kal 'yazīd' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'

ḳhair ai saudāgaro ab hai to bas is baat meñ

vaqt ke farmān ke aage jhukā do gardaneñ

ik kahānī vaqt likkhegā na.e mazmūn

jis surḳhī ko zarūrat hai tumhāre ḳhuun

vaqt farmān apnā ruḳh badal saktā nahīñ

maut Tal saktī hai ab farmān Tal saktā nahīñ

kis zaban se kah rahe ho aaj tum saudagaro

dahr mein insaniyat ke nam ko uncha karo

jis ko sab kahte hain hitler bheDiya hai bheDiya

bheDiye ko mar do goli pae-amn-o-baqa

bagh-e-insani mein chalne hi pe hai baad-e-KHizan

aadamiyyat le rahi hai hichkiyon par hichkiyan

hath hai hitler ka raKHsh-e-KHud-sari ki bag par

tegh ka pani chhiDak do germany ki aag par

saKHt hairan hun ki mahfil mein tumhaari aur ye zikr

nau-e-insani ke mustaqbil ki ab karte ho fikr

jab yahan aae the tum saudagari ke waste

nau-e-insani ke mustaqbil se kiya waqif na the

hindiyon ke jism mein kya ruh-e-azadi na thi

sach batao kya wo insanon ki aabaadi na thi

apne zulm-e-be-nihayat ka fasana yaad hai

company ka phir wo daur-e-mujrimana yaad hai

luTte phirte the jab tum karwan-dar-karwan

sar-barahna phir rahi thi daulat-e-hindostan

dast-karon ke anguThe kaTte phirte the tum

sard lashon se gaDhon ko paTte phirte the tum

sanat-e-hindostan par maut thi chhai hui

maut bhi kaisi tumhaare hat ki lai hui

allah allah kis qadar insaf ke talib ho aaj

mir-jafar ki qasam kya dushman-e-haq tha 'siraj'

kya awadh ki begamon ka bhi satana yaad hai

yaad hai jhansi ki rani ka zamana yaad hai

hijrat-e-sultan-e-dehli ka saman bhi yaad hai

sher-dil 'Tipu' ki KHunin dastan bhi yaad hai

tisare faqe mein ek girte hue ko thamne

kas ke tum lae the sar shah-e-zafar ke samne

yaad to hogi wo maTiya-burj ki bhi dastan

ab bhi jis ki KHak se uThta hai rah rah kar dhuan

tum ne qaisar-e-bagh ko dekha to hoga barha

aaj bhi aati hai jis se hae 'aKHtar' ki sada

sach kaho kya hafize mein hai wo zulm-e-be-panah

aaj tak ragoon mein ek qabr hai jis ki gawah

zehn mein hoga ye taza hindiyon ka dagh bhi

yaad to hoga tumhein jallianwala-bagh bhi

puchh lo is se tumhaara nam kyun tabinda hai

'dyer'-e-gurg-e-dahan-alud ab bhi zinda hai

wo 'bhagat-singh' ab bhi jis ke gham mein dil nashad hai

us ki gardan mein jo Dala tha wo phanda yaad hai

ahl-e-azadi raha karte the kis hanjar se

puchh lo ye qaid-KHanon ke dar-o-diwar se

ab bhi hai mahfuz jis par tantana sarkar ka

aaj bhi gunji hui hai jin mein koDon ki sada

aaj kashti amn ke amwaj par khete ho kyun

saKHt hairan hun ki ab tum dars-e-haq dete ho kyun

ahl-e-quwwat dam-e-haq mein to kabhi aate nahin

banki aKHlaq ko KHatre mein bhi late nahin

lekin aaj aKHlaq ki talqin farmate ho tum

ho na ho apne mein ab quwwat nahin pate ho tum

ahl-e-haq raushan-nazar hain ahl-e-baatin kor hain

ye to hain aqwal un qaumon ke jo kamzor hain

aaj shayad manzil-e-quwwat mein tum rahte nahin

jis ki laThi us ki bhains ab kis liye kahte nahin

kya kaha insaf hai insan ka farz-e-awwalin

kya fasad-o-zulm ka ab tum mein kas baqi nahin

der se baiThe ho naKHl-e-rasti ki chhanw mein

kya KHuda-na-karda kuchh moch aa gai hai panw mein

gunj Tapon ki na aabaadi na virane mein hai

KHair to hai asp-e-tazi kya shifa-KHane mein hai

aaj kal to har nazar mein rahm ka andaz hai

kuchh tabiat kya nasib-e-dushmanan na-saz hai

sans kya ukhDi ki haq ke nam par marne lage

nau-e-insan ki hawa-KHwahi ka dam bharne lage

zulm bhule ragni insaf ki gane lage

lag gai hai aag kya ghar mein ki chillane lage

mujrmon ke waste zeba nahin ye shor-o-shain

kal 'yazid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'

KHair ai saudagaro ab hai to bas is baat mein

waqt ke farman ke aage jhuka do gardanen

ek kahani waqt likkhega nae mazmun ki

jis ki surKHi ko zarurat hai tumhaare KHun ki

waqt ka farman apna ruKH badal sakta nahin

maut Tal sakti hai ab farman Tal sakta nahin

Source :
  • Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 351)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
  • Edition : 1982,Editon II 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now