Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id

ai jamāl-e-dost terī diid honī chāhiye

ġham-zadoñ bhī to āḳhir iid honī chāhiye

jab nahīñ hai aap ko tark-e-ta.alluq ḳhayāl

aap ke qaul se tardīd honī chāhiye

māntā huuñ maiñ ki be-shak qaul ke sachche haiñ aap

lekin apne ahd tajdīd honī chāhiye

merī jānib se sahī tahrīk-e-takmīl-e-vafā

lekin is ko aap tā.īd honī chāhiye

aap ne tanqīs kar dāstān-e-shauq

merā ye armān thā tanqīd honī chāhiye

har qadam par rah-rav-e-ulfat ko manzil ke liye

shauq honā chāhiye ummīd honī chāhiye

jo bayāñ iz.hār-e-harf-e-mudda.ā par ḳhatm ho

us bilkul muḳhtasar tamhīd honī chāhiye

ham ko bhī mālūm ho kin se hai raunaq bazm

aap ke ahbāb tafrīd honī chāhiye

aap jab chāheñ mire chullū meñ talchhaT Daal deñ

kab kahā thā mahfil-e-jamshīd honī chāhiye

sajda-rezī ke liye is rahguzar meñ ai jabīñ

naqsh-e-pā-e-dost taqlīd honī chāhiye

ai jamal-e-dost teri did honi chahiye

gham-zadon ki bhi to aaKHir id honi chahiye

jab nahin hai aap ko tark-e-talluq ka KHayal

aap hi ke qaul se tardid honi chahiye

manta hun main ki be-shak qaul ke sachche hain aap

lekin apne ahd ki tajdid honi chahiye

meri jaanib se sahi tahrik-e-takmil-e-wafa

lekin is ko aap ki taid honi chahiye

aap ne tanqis kar di dastan-e-shauq ki

mera ye arman tha tanqid honi chahiye

har qadam par rah-raw-e-ulfat ko manzil ke liye

shauq hona chahiye ummid honi chahiye

jo bayan izhaar-e-harf-e-muddaa par KHatm ho

us ki bilkul muKHtasar tamhid honi chahiye

hum ko bhi malum ho kin se hai raunaq bazm ki

aap ke ahbab ki tafrid honi chahiye

aap jab chahen mere chullu mein talchhaT Dal den

kab kaha tha mahfil-e-jamshid honi chahiye

sajda-rezi ke liye is rahguzar mein ai jabin

naqsh-e-pa-e-dost ki taqlid honi chahiye

Source :
  • Maikhana

Tagged Under

Eid
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now