main pal do pal ka shair hun
maiñ pal do pal kā shā'ir huuñ pal do pal mirī kahānī hai
pal do pal merī hastī hai pal do pal mirī javānī hai
mujh se pahle kitne shā'ir aa.e aur aa kar chale ga.e
kuchh aaheñ bhar kar lauT ga.e kuchh naġhme gā kar chale ga.e
vo bhī ik pal kā qissa the maiñ bhī ik pal kā qissa huuñ
kal tum se judā ho jā.ūñgā go aaj tumhārā hissa huuñ
pal do pal meñ kuchh kah paayā itnī hī sa'ādat kaafī hai
pal do pal tum ne mujh ko sunā itnī hī ‘ināyat kaafī hai
kal aur ā.eñge naġhmoñ kī khiltī kaliyāñ chunñe vaale
mujh se behtar kahne vaale tum se behtar sunñe vaale
har nasl ik fasl hai dhartī kī aaj ugtī hai kal kaTtī hai
jīvan vo mahñgī madirā hai jo qatra qatra baTtī hai
sāgar se ubhrī lahar huuñ maiñ sāgar meñ phir kho jā.ūñgā
miTTī kī ruuh kā sapnā huuñ miTTī meñ phir so jā.ūñgā
kal koī mujh ko yaad kare kyuuñ koī mujh ko yaad kare
masrūf zamāna mere liye kyuuñ vaqt apnā barbād kare
main pal do pal ka sha'ir hun pal do pal meri kahani hai
pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai
mujh se pahle kitne sha'ir aae aur aa kar chale gae
kuchh aahen bhar kar lauT gae kuchh naghme ga kar chale gae
wo bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hun
kal tum se juda ho jaunga go aaj tumhaara hissa hun
pal do pal mein kuchh kah paya itni hi sa'adat kafi hai
pal do pal tum ne mujh ko suna itni hi ‘inayat kafi hai
kal aur aaenge naghmon ki khilti kaliyan chunne wale
mujh se behtar kahne wale tum se behtar sunne wale
har nasl ek fasl hai dharti ki aaj ugti hai kal kaTti hai
jiwan wo mahngi madira hai jo qatra qatra baTti hai
sagar se ubhri lahar hun main sagar mein phir kho jaunga
miTTi ki ruh ka sapna hun miTTi mein phir so jaunga
kal koi mujh ko yaad kare kyun koi mujh ko yaad kare
masruf zamana mere liye kyun waqt apna barbaad kare
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.