Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marhum aur mahrum

Zubair Ali Tabish

marhum aur mahrum

Zubair Ali Tabish

mirī hayāt ye hai aur ye tumhārī qazā

ziyāda kis se kahūñ aur kis ko kam bolo

tum ahl-e-ḳhāna rahe aur maiñ yatīm huā

tumhārā dard baḌā hai merā ġham bolo

tumhārā daur thā ghar meñ bahār hañstī thī

abhī to dar pe faqat ranj-o-ġham dastak hai

tumhāre saath mausam baḌā hasīn rahā

tumhāre baad mausam baḌā bhayānak hai

hazāroñ qarz the mujh par tumhārī ulfat ke

mujhe vo qarz chukāne mauqa to dete

tumhārā ḳhuun mire jism meñ machaltā rahā

zarā se qatre bahāne mauqa to dete

baḌe sukūn se tum so ga.e vahāñ kar

ye kaise niiñd tumheñ aa ga.ī na.e ghar meñ

har ek shab maiñ faqat karvaTeñ badaltā huuñ

tumhārī qabr ke kañkar hoñ jaise bistar meñ

maiñ bojh kāñdhoñ pe aise uThā ke chaltā huuñ

tumhārā jaise janāza uThā ke chaltā thā

yahāñ pe merī pareshānī sirf merī hai

vahāñ koī na koī kāñdhā to badaltā thā

tumhārī sham-e-tamannā bas ek raat bujhī

charāġh merī tavaqqo.a ke roz bujhte haiñ

maiñ saañs luuñ bhī to kaise ki merī sāñsoñ meñ

tumhārī Dūbtī sāñsoñ ke tiir chubhte haiñ

maiñ jab bhī chhūtā huuñ apne badan miTTī ko

to lams phir usī ThanDe badan hotā hai

libās roz badaltā huuñ maiñ bhī sab tarah

magar ḳhayāl tumhāre kafan hotā hai

bahut tavīl kahānī hai merī hastī

tumhārī maut to ik muḳhtasar fasāna hai

vo jis galī se janāza tumhārā niklā thā

usī galī se mirā roz aanā jaanā hai

maiñ koī raah huuñ tum raah dekhne vaale

ki muntazir to marā par na intizār marā

tumhārī maut mirī zindagī se behtar hai

tum ek baar mare maiñ to baar baar marā

meri hayat ye hai aur ye tumhaari qaza

ziyaada kis se kahun aur kis ko kam bolo

tum ahl-e-KHana rahe aur main yatim hua

tumhaara dard baDa hai ya mera gham bolo

tumhaara daur tha ghar mein bahaar hansti thi

abhi to dar pe faqat ranj-o-gham ki dastak hai

tumhaare sath ka mausam baDa hasin raha

tumhaare baad ka mausam baDa bhayanak hai

hazaron qarz the mujh par tumhaari ulfat ke

mujhe wo qarz chukane ka mauqa to dete

tumhaara KHun mere jism mein machalta raha

zara se qatre bahane ka mauqa to dete

baDe sukun se tum so gae wahan ja kar

ye kaise nind tumhein aa gai nae ghar mein

har ek shab main faqat karwaTen badalta hun

tumhaari qabr ke kankar hon jaise bistar mein

main bojh kandhon pe aise uTha ke chalta hun

tumhaara jaise janaza uTha ke chalta tha

yahan pe meri pareshani sirf meri hai

wahan koi na koi kandha to badalta tha

tumhaari sham-e-tamanna bas ek raat bujhi

charagh meri tawaqqoa ke roz bujhte hain

main sans lun bhi to kaise ki meri sanson mein

tumhaari Dubti sanson ke tir chubhte hain

main jab bhi chhuta hun apne badan ki miTTi ko

to lams phir usi ThanDe badan ka hota hai

libas roz badalta hun main bhi sab ki tarah

magar KHayal tumhaare kafan ka hota hai

bahut tawil kahani hai meri hasti ki

tumhaari maut to ek muKHtasar fasana hai

wo jis gali se janaza tumhaara nikla tha

usi gali se mera roz aana jaana hai

main koi rah hun tum rah dekhne wale

ki muntazir to mara par na intizar mara

tumhaari maut meri zindagi se behtar hai

tum ek bar mare main to bar bar mara

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Zubair Ali Tabish

Zubair Ali Tabish

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now