bachchon ki id
iid ke din kuchh chhoTe bachche
bhole bhāle sīdhe saade
ek jagah par aa kar baiThe
apnī jāñch lage sab karne
aapas meñ yuuñ bole bachche
kis ne kitne roze rakkhe
sab se pahle bolā daarā
maiñ ne rakkhe puure bārah
saffo bolī mere terah
tum se ek ziyāda rakkhā
baano bolī mere chhe haiñ
bhaa.ī daarā se aadhe haiñ
huuñ bhī to maiñ chhoTī un se
isī liye kam roze rakkhe
yuuñ hī the sab kahte jaate
apne roze ginte jaate
suntā thā sab baiThā munnā
soch ke yuuñ vo sab se bolā
maiñ ne bhī rakkhe haiñ roze
tum sab se haiñ zyāda mere
sab bole tum ne kab rakkhe
vo bolā maiñ ne sab rakhe
ik ik din meñ do do roze
saffo mere gino to roze
munnā kī ye bāteñ sun kar
ḳhuub hañse ḳhush ho kar bachche
iid to sach-much bachchoñ kī hai
yā phir roza-dāroñ kī hai
id ke din kuchh chhoTe bachche
bhole bhaale sidhe sade
ek jagah par aa kar baiThe
apni jaanch lage sab karne
aapas mein yun bole bachche
kis ne kitne roze rakkhe
sab se pahle bola dara
main ne rakkhe pure barah
saffo boli mere terah
tum se ek ziyaada rakkha
bano boli mere chhe hain
bhai dara se aadhe hain
hun bhi to main chhoTi un se
isi liye kam roze rakkhe
yun hi the sab kahte jate
apne roze ginte jate
sunta tha sab baiTha munna
soch ke yun wo sab se bola
main ne bhi rakkhe hain roze
tum sab se hain zyaada mere
sab bole tum ne kab rakkhe
wo bola main ne sab rakhe
ek ek din mein do do roze
saffo mere gino to roze
munna ki ye baaten sun kar
KHub hanse KHush ho kar bachche
id to sach-much bachchon ki hai
ya phir roza-daron ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.