Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid ka chand dekh kar

Moazzam Ali Khan

eid ka chand dekh kar

Moazzam Ali Khan

MORE BYMoazzam Ali Khan

    sub.h ḳhairāt ke āñgan meñ ġharībī hogī

    phir vahī sadqa-e-jāñ ab ke baras pā.eñge

    aur har dast-e-muḳhayyar meñ chamakte sikke

    malgaje jismoñ hālat pe taras khā.eñge

    ġham ke tapte hue sahrā pe ḳhushī ke bādal

    be-irāda sar-e-rāh baras jā.eñge

    tīra-baḳhtī muñDeroñ pe umīdoñ ke charāġh

    phir ra.ūnat havāoñ se jilā māñgeñge

    bhuuk gard meñ lipTe hue sīmīñ paikar

    nang-e-ehsās sa.ūbat se qabā māñgeñge

    phir havas-jū kisī adh-nangī javānī taraf

    apnī pheñkī huī chādar sila māñgeñge

    fāqa-mastī muqaddar hai to āḳhir ik din

    peT aag bujhāne zarūrat kyā hai

    sāl-hā-sāl bosīda rivāyat ke evaz

    daulat-e-ġham ko luTāne zarūrat kyā hai

    bhiik ke paisoñ ko dastār-e-anā meñ rakh kar

    sāthiyo eid manāne zarūrat kyā hai

    aur agar eid manānā hai to jān-e-ġhurbat

    sang-e-mehnat se ye kashkol-e-zalālat toḌo

    bhiik par jiine se behtar hai ḳhudī par marnā

    ye hisār-e-ravish-e-ahl-e-ināyat toḌo

    māh-e-qurāñ ke fazā.el qasam hai tum ko

    aaj ḳhairāt pe jiine rivāyat toḌo

    subh KHairaat ke aangan mein gharibi hogi

    phir wahi sadqa-e-jaan ab ke baras paenge

    aur har dast-e-muKHayyar mein chamakte sikke

    malgaje jismon ki haalat pe taras khaenge

    gham ke tapte hue sahra pe KHushi ke baadal

    be-irada hi sar-e-rah baras jaenge

    tira-baKHti ki munDeron pe umidon ke charagh

    phir raunat ki hawaon se jila mangenge

    bhuk ki gard mein lipTe hue simin paikar

    nang-e-ehsas saubat se qaba mangenge

    phir hawas-ju kisi adh-nangi jawani ki taraf

    apni phenki hui chadar ka sila mangenge

    faqa-masti hi muqaddar hai to aaKHir ek din

    peT ki aag bujhane ki zarurat kya hai

    sal-ha-sal ki bosida riwayat ke ewaz

    daulat-e-gham ko luTane ki zarurat kya hai

    bhik ke paison ko dastar-e-ana mein rakh kar

    sathiyo eid manane ki zarurat kya hai

    aur agar eid manana hai to jaan-e-ghurbat

    sang-e-mehnat se ye kashkol-e-zalalat toDo

    bhik par jine se behtar hai KHudi par marna

    ye hisar-e-rawish-e-ahl-e-inayat toDo

    mah-e-quran ke fazael ki qasam hai tum ko

    aaj KHairaat pe jine ki riwayat toDo

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now