eidi ka mutalba
īd-e-mubārak aa.ī hai
sachchī ḳhushiyāñ laa.ī hai
ammī ham ko eidī do
iid hañsāne vaalī hai
jeb hamārī ḳhālī hai
abbā ham ko eidī do
saare roze ḳhatm hue
pahle paise hazm hue
aapā ham ko eidī do
eidī hai ye bhiik nahīñ
Taal ke jaanā Thiik nahīñ
bhayyā ham ko eidī do
ammī kī maañ jaa.ī ho
sirf sivayyāñ laa.ī ho
ḳhāla ham ko eidī do
ghar meñ gaaḌī ghoḌā hai
jo kuchh bhī do thoḌā hai
māmūñ ham ko eidī do
aaj nahīñ paḌhne kā ġham
aaj baḌe navvāb haiñ ham
naanī ham ko eidī do
umda kapḌe pahne haiñ
kapḌoñ ke kyā kahne haiñ
naanā ham ko eidī do
kanjūsī ko jānte haiñ
bātoñ se kab mānte haiñ
daadī ham ko eidī do
id-e-mubarak aai hai
sachchi KHushiyan lai hai
ammi hum ko eidi do
id hansane wali hai
jeb hamari KHali hai
abba hum ko eidi do
sare roze KHatm hue
pahle paise hazm hue
aapa hum ko eidi do
eidi hai ye bhik nahin
Tal ke jaana Thik nahin
bhayya hum ko eidi do
ammi ki man jai ho
sirf siwayyan lai ho
KHala hum ko eidi do
ghar mein gaDi ghoDa hai
jo kuchh bhi do thoDa hai
mamun hum ko eidi do
aaj nahin paDhne ka gham
aaj baDe nawwab hain hum
nani hum ko eidi do
umda kapDe pahne hain
kapDon ke kya kahne hain
nana hum ko eidi do
kanjusi ko jaante hain
baaton se kab mante hain
dadi hum ko eidi do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.