Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id aai hai

Laiq Siddiqi

id aai hai

Laiq Siddiqi

gulshan-e-zīst pe pur-kaif ghaTā chhā.ī hai

ruḳh pe har phuul ke ik husn hai ra.anā.ī hai

ab kalī firqa-parastī hai murjhā.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

aaj din hai har ik maz.hab-o-millat ke liye

rang-raliyoñ ke liye aur mohabbat ke liye

aaj ke roz se dushman bhī sagā bhaa.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

naqsh iz.hār-e-mohabbat ubhar jaatā hai

iid aatī hai to māhaul sañvar jaatā hai

iid maḳhsūs ibādat maza laa.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

aaj raat se chhante hue anvār-e-sahar

bhā.ī-chāre fazā dekh ke tā-hadd-e-nazar

ruuh zulmat-kada-e-dahr tharrā.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

jagmagāte hue bachchoñ ke rañgīle kapḌe

aur za.īfoñ ke javānoñ ke sajīle kapḌe

jin se rangīnī-e-gulzār bhī sharmā.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

masjideñ markaz-e-sajda haiñ musalmānoñ

īd-gāheñ haiñ ki sailāb hai insānoñ

rahmat-e-haq hai jo māhaul pe lahrā.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

duur tak ġham kahīñ naam nahīñ miltā hai

har taraf aish-o-masarrat yaqīñ miltā hai

shaam mustaqbil-e-rangīñ ḳhabar laa.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

raqs kartī huī har samt masarrat bahār

dost ahbāb ke jhurmuT vo rafīqoñ qatār

aaj tanhā.ī ne mahfil jagah paa.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

dostī amn sharāfat baḌhā.e hue haath

ham gale milte haiñ baḌh kar ke baḌe pyaar ke saath

jaise har shaḳhs se barsoñ shanāsā.ī hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai

gulshan-e-zist pe pur-kaif ghaTa chhai hai

ruKH pe har phul ke ek husn hai ranai hai

ab kali firqa-parasti ki hai murjhai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

aaj ka din hai har ek mazhab-o-millat ke liye

rang-raliyon ke liye aur mohabbat ke liye

aaj ke roz se dushman bhi saga bhai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

naqsh izhaar-e-mohabbat ka ubhar jata hai

id aati hai to mahaul sanwar jata hai

id maKHsus ibaadat ka maza lai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

aaj ki raat se chhante hue anwar-e-sahar

bhai-chaare ki faza dekh ke ta-hadd-e-nazar

ruh zulmat-kada-e-dahr ki tharrai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

jagmagate hue bachchon ke rangile kapDe

aur zaifon ke jawanon ke sajile kapDe

jin se rangini-e-gulzar bhi sharmai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

masjiden markaz-e-sajda hain musalmanon ka

id-gahen hain ki sailab hai insanon ka

rahmat-e-haq hai jo mahaul pe lahrai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

dur tak gham ka kahin nam nahin milta hai

har taraf aish-o-masarrat ka yaqin milta hai

sham mustaqbil-e-rangin ki KHabar lai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

raqs karti hui har samt masarrat ki bahaar

dost ahbab ke jhurmuT wo rafiqon ki qatar

aaj tanhai ne mahfil ki jagah pai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

dosti amn sharafat ka baDhae hue hath

hum gale milte hain baDh kar ke baDe pyar ke sath

jaise har shaKHs se barson ki shanasai hai

har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now