Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id hairan hai

Najma Shaheen Khosa

id hairan hai

Najma Shaheen Khosa

iid mehñdī ḳhushiyoñ

rañgoñ ḳhushbū

aur kāñch chūḌiyoñ khanak

meñ basī ārzūoñ ik naam hai

iid in.aam hai

iid ummīd hai

iid tajdīd hai

iid jaise koī raushnī kiran

ek va.ade kahānī fasāne

hijr mausam meñ lipTe hue vasl ke

dukh tamhīd hai

iid ummīd hai

ek ghar meñ to ḳhushiyoñ sāmān hai

ek ghar meñ magar dukh tūfān hai

iid hairān hai

iid hiirā nahīñ iid motī nahīñ

iid hañstī nahīñ iid rotī nahīñ

ek āñgan kahīñ koī aisā bhī hai

jis meñ shahzādī sadiyoñ se sotī nahīñ

shāhzāde jab diid hotī nahīñ

iid ke din bhī phir iid hotī nahīñ

id mehndi ka KHushiyon ka

rangon ka KHushbu ka

aur kanch ki chuDiyon ki khanak

mein basi aarzuon ka ek nam hai

id inam hai

id ummid hai

id tajdid hai

id jaise koi raushni ki kiran

ek wade kahani fasane ki ya

hijr mausam mein lipTe hue wasl ke

dukh ki tamhid hai

id ummid hai

ek ghar mein to KHushiyon ka saman hai

ek ghar mein magar dukh ka tufan hai

id hairan hai

id hira nahin id moti nahin

id hansti nahin id roti nahin

ek aangan kahin koi aisa bhi hai

jis mein shahzadi sadiyon se soti nahin

shahzade ki jab did hoti nahin

id ke din bhi phir id hoti nahin

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now