Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id ka chand

Nashir Naqvi

id ka chand

Nashir Naqvi

MORE BYNashir Naqvi

    Dūbtī shaam ke bāloñ meñ shafaq laalī

    kitnī bichhḌī huī yādoñ ko milā detī hai

    ḳhushbueñ surḳh gulāboñ mahak uThtī haiñ

    chāñd shakl tamanna ko jilā detī hai

    vo tasvīr vo rang vo tanhā.ī

    merī vahshat meñ utarne lagī ḳhanjar ban kar

    sab muñDeroñ pe khaḌe dekh rahe haiñ us ko

    phir samāne lagī mujh meñ tirā paikar ban kar

    maiñ ne chāhā thā ki maiñ tujh ko bhulā duuñ lekin

    mujh se ye ho na sakā tujh se bhī ye ho na sakā

    dil ne ma.asūm gulāboñ se jo khaa.e the vo zaḳhm

    un ko siine meñ chhupā.e rahā maiñ dho na sakā

    apne juuḌe meñ sajā.e hue bārīk chāñd

    nuur shaam phir aa.ī hai charāġhāñ karne

    jhilmilāte hue tāroñ hai ik haalā

    raushnī utrī hai tajdīd-e-gulistāñ karne

    roza-dāroñ ke tajassus se ye nikhrī huī shaam

    aur is shaam meñ bachpan nigāhoñ talāsh

    chāñd ke ruup meñ paane ke liye dil bechain

    tere nazzāroñ aur terī panāhoñ talāsh

    iid chāñd zamāne ne tujhe naam diyā

    tere ruḳhsār letī haiñ balā.eñ āñkheñ

    chāñdnī terī utar aa.egī har ik dil meñ

    is qadar pyaar ki sharmā na jaa.eñ āñkheñ

    chāñd ke ruup meñ pākīza tamannāoñ meñ

    ḳhūb-rūī tirī allāh salāmat rakkhe

    ye duā hai mirī mahbūb mire shauq jaañ

    jab bhī ubhre to āñkhoñ meñ tarāvat rakhe

    mirī bātoñ se sharmā ke na chhup jaanā kahīñ

    iid chāñd hai to sab ko dikhā.ī denā

    dil ke jazbāt tire saath haiñ ai nūr-e-hayāt

    pyaar giit hai to sab ko sunā.ī denā

    tere aane ke tasadduq tire jalvoñ ke nisār

    paak lamhāt meñ hai ishq tā.īd din

    ek shā.ir huuñ mire lafzoñ tohfa ho qubūl

    iid chāñd mubārak ho tujhe iid din

    Dubti sham ke baalon mein shafaq ki lali

    kitni bichhDi hui yaadon ko mila deti hai

    KHushbuen surKH gulabon ki mahak uThti hain

    chand si shakl tamanna ko jila deti hai

    wo hi taswir wo hi rang wo hi tanhai

    meri wahshat mein utarne lagi KHanjar ban kar

    sab munDeron pe khaDe dekh rahe hain us ko

    phir samane lagi mujh mein tera paikar ban kar

    main ne chaha tha ki main tujh ko bhula dun lekin

    mujh se ye ho na saka tujh se bhi ye ho na saka

    dil ne masum gulabon se jo khae the wo zaKHm

    un ko sine mein chhupae raha main dho na saka

    apne juDe mein sajae hue barik sa chand

    nur ki sham phir aai hai charaghan karne

    jhilmilate hue taron ka hai ek haala sa

    raushni utri hai tajdid-e-gulistan karne

    roza-daron ke tajassus se ye nikhri hui sham

    aur is sham mein bachpan ki nigahon ki talash

    chand ke rup mein pane ke liye dil bechain

    tere nazzaron ki aur teri panahon ki talash

    id ka chand zamane ne tujhe nam diya

    tere ruKHsar ki leti hain balaen aankhen

    chandni teri utar aaegi har ek dil mein

    is qadar pyar ki sharma hi na jaen aankhen

    chand ke rup mein pakiza tamannaon mein

    KHub-rui teri allah salamat rakkhe

    ye dua hai meri mahbub mere shauq ki jaan

    jab bhi tu ubhre to aankhon mein tarawat rakhe

    tu meri baaton se sharma ke na chhup jaana kahin

    id ka chand hai to sab ko dikhai dena

    dil ke jazbaat tere sath hain ai nur-e-hayat

    pyar ka git hai to sab ko sunai dena

    tere aane ke tasadduq tere jalwon ke nisar

    pak lamhat mein hai ishq ki taid ka din

    ek shair hun mere lafzon ka tohfa ho qubul

    id ka chand mubarak ho tujhe id ka din

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now