Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id

MORE BYJauhar Rahmani

    vo dekho vo niklā chāñd

    iid pyārā pyārā chāñd

    vo dekho us peḌ ke uupar

    TuuTī huī chūḌī ke barābar

    Tiipū aao guDDū aao

    shāhī ko bhī saath meñ laao

    daadī maañ ne sab ko jagāyā

    achchhī tarah sab ko nahlāyā

    cham-cham karte juute pahne

    pājāma aur kurte pahne

    mummy ne phir itr lagāyā

    sab ke kapḌoñ ko mahkāyā

    aage aage ho ga.e daddy

    pīchhe pīchhe nanhe namāzī

    īd-gāh meñ paḌhī namāz

    saath meñ the anvar e.ajāz

    vāpas aa.e paḌh ke namāz

    iThlāte dikhlāte naaz

    sab ne mil kar khā.īñ siva.iyāñ

    sab ke man ko bhā.īñ siva.iyāñ

    daddy ne sab ko iidī

    ḳhush hue Tiipū guDDū shāhī

    iid ḳhushī ke phuul khilātī

    aa.ī añdhere duur bhagātī

    wo dekho wo nikla chand

    id ka pyara pyara chand

    wo dekho us peD ke upar

    TuTi hui chuDi ke barabar

    Tipu aao guDDu aao

    shahi ko bhi sath mein lao

    dadi man ne sab ko jagaya

    achchhi tarah sab ko nahlaya

    cham-cham karte jute pahne

    pajama aur kurte pahne

    mummy ne phir itr lagaya

    sab ke kapDon ko mahkaya

    aage aage ho gae daddy

    pichhe pichhe nanhe namazi

    id-gah mein paDhi namaz

    sath mein the anwar eajaz

    wapas aae paDh ke namaz

    iThlate dikhlate naz

    sab ne mil kar khain siwaiyan

    sab ke man ko bhain siwaiyan

    daddy ne di sab ko idi

    KHush hue Tipu guDDu shahi

    id KHushi ke phul khilati

    aai andhere dur bhagati

    Source :

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now