Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jashn-e-masarrat

Masooda Hayat

jashn-e-masarrat

Masooda Hayat

yuuñ jashn-e-masarrat har samt ghaTā chhā.ī

phūloñ pe nikhār aayā kaliyoñ ko hañsī aa.ī

shādāb huī khetī fasloñ pe bahār aa.ī

bahtī huī nadiyoñ ne bādiya-paimā.ī

baapū ke ahinsā nehru ke taḳhayyul

tanvīr nazar aa.ī tasvīr nazar aa.ī

zehnoñ se jahālat zulmat ko miTā Daalā

ab ilm ke sūraj ghar-ghar meñ kiran aa.ī

science meñ hirfat meñ hāsil huī yaksūī

is daur meñ bhārat ne har fan meñ jilā paa.ī

ab dil meñ umangeñ haiñ nazroñ meñ masarrat hai

har samt hai zebā.ī har samt hai ra.anā.ī

duniyā nigāheñ bhī pā-bos-e-qayādat haiñ

is bint-e-javāhar allah re masīhā.ī

yun jashn-e-masarrat ki har samt ghaTa chhai

phulon pe nikhaar aaya kaliyon ko hansi aai

shadab hui kheti faslon pe bahaar aai

bahti hui nadiyon ne ki baadiya-paimai

bapu ke ahinsa ki nehru ke taKHayyul ki

tanwir nazar aai taswir nazar aai

zehnon se jahaalat ki zulmat ko miTa Dala

ab ilm ke suraj ki ghar-ghar mein kiran aai

science mein hirfat mein hasil hui yaksui

is daur mein bhaarat ne har fan mein jila pai

ab dil mein umangen hain nazron mein masarrat hai

har samt hai zebai har samt hai ranai

duniya ki nigahen bhi pa-bos-e-qayaadat hain

is bint-e-jawahar ki allah re masihai

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now