Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikast

Sahir Ludhianvi

shikast

Sahir Ludhianvi

apne siine se lagā.e hue ummīd laash

muddatoñ ziist ko nāshād kiyā hai maiñ ne

ne to ek sadme se kyā thā do-chār

dil ko har tarah se barbād kiyā hai maiñ ne

jab bhī rāhoñ meñ nazar aa.e harīrī malbūs

sard aahoñ meñ tujhe yaad kiyā hai maiñ ne

aur ab jab ki mirī ruuh pahnā.ī meñ

ek sunsān maġhmūm ghaTā chhā.ī hai

damakte hue aariz shuā.eñ le kar

gul-shuda sham.eñ jalāne ko chalī aa.ī hai

merī mahbūb ye hañgāma-e-tajdīd-e-vafā

merī afsurda javānī ke liye raas nahīñ

maiñ ne jo phuul chune the tire qadmoñ ke liye

un dhundlā tasavvur bhī mire paas nahīñ

ek yaḳh-basta udāsī hai dil o jaañ pe muhīt

ab mirī ruuh meñ baaqī hai na umiid na josh

rah gayā dab ke girāñ-bār salāsil ke tale

merī darmāñda javānī umañgoñ ḳharosh

regzāroñ meñ bagūloñ ke sivā kuchh bhī nahīñ

sāya-e-abr-e-gurezāñ se mujhe kyā lenā

bujh chuke haiñ mire siine meñ mohabbat ke kañval

ab tire husn-e-pashīmāñ se mujhe kyā lenā

tere aariz pe ye Dhalke hue sīmīñ aañsū

merī afsurdagi-e-ġham mudāvā to nahīñ

terī mahbūb nigāhoñ payām-e-tajdīd

ik talāfī sahī merī tamannā to nahīñ

apne sine se lagae hue ummid ki lash

muddaton zist ko nashad kiya hai main ne

tu ne to ek hi sadme se kya tha do-chaar

dil ko har tarah se barbaad kiya hai main ne

jab bhi rahon mein nazar aae hariri malbus

sard aahon mein tujhe yaad kiya hai main ne

aur ab jab ki meri ruh ki pahnai mein

ek sunsan si maghmum ghaTa chhai hai

tu damakte hue aariz ki shuaen le kar

gul-shuda shamen jalane ko chali aai hai

meri mahbub ye hangama-e-tajdid-e-wafa

meri afsurda jawani ke liye ras nahin

main ne jo phul chune the tere qadmon ke liye

un ka dhundla sa tasawwur bhi mere pas nahin

ek yaKH-basta udasi hai dil o jaan pe muhit

ab meri ruh mein baqi hai na umid na josh

rah gaya dab ke giran-bar salasil ke tale

meri darmanda jawani ki umangon ka KHarosh

regzaron mein bagulon ke siwa kuchh bhi nahin

saya-e-abr-e-gurezan se mujhe kya lena

bujh chuke hain mere sine mein mohabbat ke kanwal

ab tere husn-e-pashiman se mujhe kya lena

tere aariz pe ye Dhalke hue simin aansu

meri afsurdagi-e-gham ka mudawa to nahin

teri mahbub nigahon ka payam-e-tajdid

ek talafi hi sahi meri tamanna to nahin

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now