dorahe
kab talak ḳhvāboñ se dhoka khāogī
kab talak schōl ke bachchoñ se dil bahlāogī
kab talak munnā se shādī ke karogī tazkire
ḳhvāhishoñ kī aag meñ jaltī rahogī kab talak
chhuTTiyoñ meñ kab talak har saal dillī jāogī
kab talak shādī ke har paiġhām ko Thukrāogī
chaa.e meñ paḌtā rahegā aur kitne din namak
band kamre meñ paḌhogī aur kitne din ḳhutūt
ye udāsī kab talak
kab talak nazmeñ likhogī
ro.ogī yuuñ raat kī ḳhāmoshiyoñ meñ kab talak
bible meñ kab talak DhūñDogī zaḳhmoñ kā ilaaj
muskurāhaT meñ chhupāogī kahāñ tak apne ġham
kab talak pūchhogī telephone par merā mizāj
faisla kar lo ki kis raste pe chalnā hai tumheñ
merī bāñhoñ meñ simaTnā hai hamesha ke liye
yā hamesha dard ke sho.aloñ meñ jalnā hai tumheñ
kab talak ḳhvāboñ se dhoke khāogī
kab talak KHwabon se dhoka khaogi
kab talak school ke bachchon se dil bahlaogi
kab talak munna se shadi ke karogi tazkire
KHwahishon ki aag mein jalti rahogi kab talak
chhuTTiyon mein kab talak har sal dilli jaogi
kab talak shadi ke har paigham ko Thukraogi
chae mein paDta rahega aur kitne din namak
band kamre mein paDhogi aur kitne din KHutut
ye udasi kab talak
kab talak nazmen likhogi
roogi yun raat ki KHamoshiyon mein kab talak
bible mein kab talak DhunDogi zaKHmon ka ilaj
muskurahaT mein chhupaogi kahan tak apne gham
kab talak puchhogi telephone par mera mizaj
faisla kar lo ki kis raste pe chalna hai tumhein
meri banhon mein simaTna hai hamesha ke liye
ya hamesha dard ke shoalon mein jalna hai tumhein
kab talak KHwabon se dhoke khaogi
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.