Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

MORE BYAli Jawad Zaidi

    pahle zamāna aur thā mai aur thī daur aur thā

    vo boliyāñ aur thiiñ vo Toliyāñ aur thīñ, vo holiyāñ aur thiiñ

    lekin mire pīr-e-muġhāñ

    kal to nayā andāz thā

    ik daur thā ḳhātma ik daur āġhāz thā

    tere vafādāroñ ne jab khelīñ gulābī holiyāñ

    nikle banā kar Toliyāñ

    hañste chale gaate chale

    apne gulābī rañg se duniyā ko nahlāte chale

    masjid se muñh moḌe hue

    mandir sañg-e-āstāñ chhoḌe hue

    girjā se katrā.e hue

    jaise ki hoñ rūhāniyat zindagānī se ghabrā.e hue

    daur-e-vafādārī ye anjām thā

    fikr-e-gunahgārī taaza dil-rubā paiġhām thā

    tere kūche meñ ye sab ahd-e-vafā toḌe ga.e

    rishte na.e joḌe ga.e

    aur phir gunahgāroñ ne kyā rindāna hañgāme kiye

    us vaqt un ko yaad thā bas ek tarsānā tirā

    muflisoñ nādāroñ ko lalchānā tirā

    jab mai-kade god meñ

    tere jafā terī sazā ke naam par sāġhar chale

    sūkhe hue kaase labālab bhar chale

    sab apne lab tar kar chale

    phir toḌ diiñ vo pyāliyāñ jin meñ sadā aa.e the

    shīshe chhanā chhan chhan chhanā chhan TūTte

    aur riñd lazzat lūTte

    TuuTe hue shīshoñ ik ambār thā

    shīshoñ ke is ambār meñ ik vo bhī kohna jaam thā

    jis ko sikandar ke qavī haikal javāñ

    bhāge the poras zamīñ ko chhoḌ kar

    un meñ vo kaase bhī to haiñ jin ko arab le aa.e the

    apnī abā se Dhāñp kar

    piine se pahle dekhte the mohtasib ko jhāñk kar

    lekin kabhī

    piine se baaz aate na the fāteh jo the

    un meñ haiñ aise jaam bhī

    jin par paThānoñ ke qavī hāthoñ ke dhuñdle se nishāñ

    kuchh aaj bhī maujūd haiñ

    aur un nishānoñ meñ hai ḳhuuñ maftūh hindustān

    aur un meñ haiñ vo jaam bhī jin ko muġhal le aa.e the

    tātār se qandhār se kābul se ruknā-bād se

    maftūh hindustān meñ

    jin ko vo apne qasr-e-ālīshāñ meñ chhalkāte rahe

    teġhoñ se khankāte rahe

    aur vo hasīñ nāzuk subuk halkī surāhī kis hai

    paris ke mai-ḳhānoñ meñ ye mash.hūr thī

    laayā thā ik tājir ise jo ba.ad meñ fāteh banā

    ye halke shīshoñ ke gilās aur ye na.e halke se paig

    jin par likhā hai ye bane the mulk-e-inglistān meñ

    aur haal sadiyoñ meñ chalte rahe

    piine ko mil jaatī thī lete the ham

    lekin tahī-dastī ye aalam thā dil jalte rahe

    ham aaj ghabrā ga.e

    aur un sabhī shīshoñ ko chaknāchūr kar Daalā vufūr-e-josh meñ

    chhan chhan chhanā chhan toḌ kar

    jaise ki barbādī devī chham-chhamā-chham nāchtī

    holī manāne ke liye mai-ḳhāne meñ aa ga.e

    TuuTe hue shīshoñ ke is ambār par

    ham ne jalā.ī aag yuuñ

    zardusht pākīza dil sachchā.iyoñ par hañs diyā

    jaise ki ye kahne lagā

    jalne do jalne do yūñhī shīshe pighalne do yūñhī

    tere vafādāroñ ne yuuñ pīr-e-muġhāñ

    shab bhar jalā.īñ holiyāñ

    na.are vo mastāne lage is josh meñ

    dil gir paḌe ehsās āġhosh meñ

    aur bol uThe taslīm ai pīr-e-muġhāñ jaate haiñ ham

    kal phir palaT kar ā.eñge

    us vaqt is mai-ḳhāne meñ sāmān hoñge dūsre

    tere purāne zehn ke me.aar toḌe jā.eñge

    tāmīr-e-nau jā.egī

    lekin hamāre sāl-ḳhūrda mehrbāñ pīr-e-muġhāñ

    tujh ko burā lagtā hai kyuuñ

    ġhairoñ kyā terā bhī kyā

    ye mai-kada ham sab hai panchāytī

    kyā hai terā ḳhauf kyā

    kah to diyā pīr-e-muġhāñ kal palaT kar ā.eñge

    hargiz na ham baaz ā.eñge

    kis ko Darātā hai ki tum is sazā jāoge

    gaate the ham gaate haiñ ham gā.eñge ham

    hargiz na baaz ā.eñge ham

    jheleñge jiite jā.eñge

    pairoñ meñ hai zanjīr lekin TuuT bhī saktī hai ye

    haañ aaj hastī qaid hai kal chhūT bhī saktī hai ye

    gaane de gaane de hameñ

    dhūmeñ machāne de hameñ

    shīshe ko shīshe se laḌāne de hameñ

    chhan-chhan-chhanā-chhan sadā

    baḌhne de baḌhne de abhī

    ham mast o be-ḳhud nāchte gaate jalāte toḌte

    hañste raheñ chalte raheñ

    aur bhī ḳhud pīr-e-muġhāñ

    holī ke naġhme san zarā aur dekh apnī aañkh se

    tere vafādāroñ ne kyā khelīñ gulābī holiyāñ

    muñh mai-kade se moḌ kar holī ye Tolī chalī

    gulzār meñ

    sabze lachaktī Dāliyāñ gunjān, sundar jhāḌiyāñ

    paanī sīñchī kiyāriyāñ, kāñToñ meñ chubhtī pattiyāñ

    ye sab sahī lekin yahāñ vo shai kahāñ

    jis ke liye mash.hūr hai añgūr-e-nāb

    haañ kyā kahā pīr-e-muġhāñ

    talvoñ ke nīche phuul haiñ in meñ se do ik chun bhī luuñ

    ḳhālī haiñ gul-daste tire

    tujh ko nahīñ ma.alūm abhī

    ḳhālī ye gul-daste tire ḳhālī rah jā.eñge ab

    phūloñ ne Thānī hai ki shāḳhoñ pe mar jā.eñge ab

    aur tere kamroñ meñ vo na ā.eñge ab

    muñh-band kaliyāñ ab kahāñ

    jo apnī sundar mohnī muskān kar deñ rā.egāñ

    aur apnā gulshan chhoḌ deñ siine meñ ḳhushbueñ liye

    aur ajnabī māhaul meñ

    tāq-e-nazar kāñptī zīnat baneñ

    kaliyoñ ke muñh ab khul chuke muñh-band kaliyāñ ab kahāñ

    kaliyāñ kahāñ ye phuul haiñ

    ḳhāk-e-chaman god meñ ārām-e-jāñ ye phuul haiñ

    ātish-zabāñ ye phuul haiñ

    aur dekh ye phuul kitne shoḳh haiñ

    jo TuuT kar shāḳhoñ se gir jaate haiñ terī raah meñ

    ai dil-kash pīr-e-muġhāñ

    ye chāhte haiñ rok deñ gulzār meñ rāheñ tirī

    tere liye chāra kiyā ab rah gayā

    in be-hayā phūloñ āñkhoñ to paanī bah gayā

    ab haiñ ye un jur.ateñ rokeñgi tere rāste

    bhī ḳhudā ke vāste

    in ko kuchal de piis de

    varna ḳhudā-na-ḳhvāsta

    ye rok leñ rāsta

    kaliyāñ nahīñ kāñTe haiñ ye

    kāñToñ se bhī bad-tar haiñ ye nashtar haiñ ye ḳhanjar haiñ ye

    gulzār meñ tere qadam kuchh aaj to aa.e nahīñ

    ne unhīñ sabzoñ pe hai mai-kashī

    sadiyoñ se terā daur hai

    gulzār par hai haq tirā

    Dar gayā pīr-e-muġhāñ

    kitnā bhayānak ḳhvāb thā

    ta.abīr kuchh bhī ho magar

    tere vafādāroñ ne kal

    kis aan se kis baan se kis shaan se

    khelīñ gulābī holiyāñ

    pahle zamana aur tha mai aur thi daur aur tha

    wo boliyan hi aur thin wo Toliyan hi aur thin, wo holiyan hi aur thin

    lekin mere pir-e-mughan

    kal to naya andaz tha

    ek daur ka tha KHatma ek daur ka aaghaz tha

    tere wafadaron ne jab khelin gulabi holiyan

    nikle bana kar Toliyan

    hanste chale gate chale

    apne gulabi rang se duniya ko nahlate chale

    masjid se munh moDe hue

    mandir ka sang-e-astan chhoDe hue

    girja se katrae hue

    jaise ki hon ruhaniyat ki zindagani hi se ghabrae hue

    daur-e-wafadari ka ye anjam tha

    fikr-e-gunahgari ka taza dil-ruba paigham tha

    tere hi kuche mein ye sab ahd-e-wafa toDe gae

    rishte nae joDe gae

    aur phir gunahgaron ne kya rindana hangame kiye

    us waqt un ko yaad tha bas ek tarsana tera

    muflison nadaron ko lalchana tera

    jab mai-kade ki god mein

    tere jafa teri saza ke nam par saghar chale

    sukhe hue kase labaalab bhar chale

    sab apne lab tar kar chale

    phir toD din wo pyaliyan jin mein sada pi aae the

    shishe chhana chhan chhan chhana chhan TuTte

    aur rind lazzat luTte

    TuTe hue shishon ka ek ambar tha

    shishon ke is ambar mein ek wo bhi kohna jam tha

    jis ko sikandar ke qawi haikal jawan

    bhage the poras ki zamin ko chhoD kar

    un mein wo kase bhi to hain jin ko arab le aae the

    apni aba se Dhanp kar

    pine se pahle dekhte the mohtasib ko jhank kar

    lekin kabhi

    pine se baz aate na the fateh jo the

    un mein hain aise jam bhi

    jin par paThanon ke qawi hathon ke dhundle se nishan

    kuchh aaj bhi maujud hain

    aur un nishanon mein hai KHun maftuh hindustan ka

    aur un mein hain wo jam bhi jin ko mughal le aae the

    tatar se qandhaar se kabul se rukna-baad se

    maftuh hindustan mein

    jin ko wo apne qasr-e-alishan mein chhalkate rahe

    teghon se khankate rahe

    aur wo hasin nazuk subuk halki surahi kis ki hai

    paris ke mai-KHanon mein ye mashhur thi

    laya tha ek tajir ise jo baad mein fateh bana

    ye halke shishon ke gilas aur ye nae halke se paig

    jin par likha hai ye bane the mulk-e-inglistan mein

    aur haal ki sadiyon mein chalte rahe

    pine ko mil jati thi pi lete the hum

    lekin tahi-dasti ka ye aalam tha dil jalte rahe

    hum aaj ghabra hi gae

    aur un sabhi shishon ko chaknachur kar Dala wufur-e-josh mein

    chhan chhan chhana chhan toD kar

    jaise ki barbaadi ki dewi chham-chhama-chham nachti

    holi manane ke liye mai-KHane mein aa hi gae

    TuTe hue shishon ke is ambar par

    hum ne jalai aag yun

    zardusht ka pakiza dil sachchaiyon par hans diya

    jaise ki ye kahne laga

    jalne do jalne do yunhi shishe pighalne do yunhi

    tere wafadaron ne yun pir-e-mughan

    shab bhar jalain holiyan

    nare wo mastane lage is josh mein

    dil gir paDe ehsas ki aaghosh mein

    aur bol uThe taslim ai pir-e-mughan jate hain hum

    kal phir palaT kar aaenge

    us waqt is mai-KHane mein saman honge dusre

    tere purane zehn ke mear toDe jaenge

    tamir-e-nau ki jaegi

    lekin hamare sal-KHurda mehrban pir-e-mughan

    tujh ko bura lagta hai kyun

    ghairon ka kya tera bhi kya

    ye mai-kada hum sab ka hai panchayti

    tu kya hai tera KHauf kya

    kah to diya pir-e-mughan kal palaT kar aaenge

    hargiz na hum baz aaenge

    kis ko Daraata hai ki tum is ki saza pa jaoge

    gate the hum gate hain hum gaenge hum

    hargiz na baz aaenge hum

    jhelenge jite jaenge

    pairon mein hai zanjir lekin TuT bhi sakti hai ye

    han aaj hasti qaid hai kal chhuT bhi sakti hai ye

    gane de gane de hamein

    dhumen machane de hamein

    shishe ko shishe se laDane de hamein

    chhan-chhan-chhana-chhan ki sada

    baDhne de baDhne de abhi

    hum mast o be-KHud nachte gate jalate toDte

    hanste rahen chalte rahen

    aur tu bhi KHud pir-e-mughan

    holi ke naghme san zara aur dekh apni aankh se

    tere wafadaron ne kya khelin gulabi holiyan

    munh mai-kade se moD kar holi ki ye Toli chali

    gulzar mein

    sabze lachakti Daliyan gunjaan, sundar jhaDiyan

    pani ki sinchi kiyariyan, kanTon mein chubhti pattiyan

    ye sab sahi lekin yahan wo shai kahan

    jis ke liye mashhur hai angur-e-nab

    han kya kaha pir-e-mughan

    talwon ke niche phul hain in mein se do ek chun bhi lun

    KHali hain gul-daste tere

    tujh ko nahin malum abhi

    KHali ye gul-daste tere KHali hi rah jaenge ab

    phulon ne Thani hai ki shaKHon hi pe mar jaenge ab

    aur tere kamron mein wo na aaenge ab

    munh-band kaliyan ab kahan

    jo apni sundar mohni muskan kar den raegan

    aur apna gulshan chhoD den sine mein KHushbuen liye

    aur ajnabi mahaul mein

    taq-e-nazar ki kanpti zinat banen

    kaliyon ke munh ab khul chuke munh-band kaliyan ab kahan

    kaliyan kahan ye phul hain

    KHak-e-chaman ki god mein aaram-e-jaan ye phul hain

    aatish-zaban ye phul hain

    aur dekh tu ye phul kitne shoKH hain

    jo TuT kar shaKHon se gir jate hain teri rah mein

    ai dil-kash pir-e-mughan

    ye chahte hain rok den gulzar mein rahen teri

    tere liye chaara hi kiya ab rah gaya

    in be-haya phulon ki aankhon ka to pani bah gaya

    ab hain ye un ki juraten rokengi tere raste

    tu bhi KHuda ke waste

    in ko kuchal de pis de

    warna KHuda-na-KHwasta

    ye rok hi len rasta

    kaliyan nahin kanTe hain ye

    kanTon se bhi bad-tar hain ye nashtar hain ye KHanjar hain ye

    gulzar mein tere qadam kuchh aaj to aae nahin

    tu ne unhin sabzon pe ki hai mai-kashi

    sadiyon se tera daur hai

    gulzar par hai haq tera

    tu Dar gaya pir-e-mughan

    kitna bhayanak KHwab tha

    tabir kuchh bhi ho magar

    tere wafadaron ne kal

    kis aan se kis ban se kis shan se

    khelin gulabi holiyan

    Source :
    • Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 259)
    • Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
    • Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
    • Edition : 2005

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now