Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inqalab

MORE BYAhmaq Phaphoondvi

    ye kah rahī hai ishāroñ meñ gardish-e-gardūñ

    ki jald ham koī saḳht inqalāb dekheñge

    nizām-e-charḳh meñ dekheñge ik taġhayyur-e-ḳhās

    sukūn-e-dahr meñ ik iztirāb dekheñge

    ḳhudā ne chāhā to ab jald vatan vaale

    vatan meñ apnā mission kāmyāb dekheñge

    duā.eñ haiñ jo ahl-e-vatan ne ro ro kar

    yaqīñ hai jald unheñ mustajāb dekheñge

    zamāna aane vaalā hai jab ham ai zālim

    tujhe bhī ḳhvār tujhe bhī ḳharāb dekheñge

    bahut jald tire sar pe bhī ḳhudā qasam

    ḳhudā qahr ḳhudā itaab dekheñge

    tujhe bhī dekheñge majbūr-e-fāqa-o-aflās

    tujhe bhī qaid-e-ġham-o-iztirāb dekheñge

    tujhe bhī apnī tarah jald ba-fazl-e-ḳhudā

    asīr-e-silsila-e-pech-o-tab dekheñge

    tujhe bhī apnī tarah pā-e-band-e-nāla-o-āh

    yuuñ majāl-e-tbāh-o-ḳharāb dekheñge

    ravāñ-davāñ tujhe hindostāñ se so.e adam

    ba-qalb-e-zār o ba-chashm-e-pur-āb dekheñge

    ye dekhnā hai jo kuchh ham ko us meñ der nahīñ

    bahut jald bahut shitāb dekheñge

    ye kah rahi hai ishaaron mein gardish-e-gardun

    ki jald hum koi saKHt inqalab dekhenge

    nizam-e-charKH mein dekhenge ek taghayyur-e-KHas

    sukun-e-dahr mein ek iztirab dekhenge

    KHuda ne chaha to ab jald hi watan wale

    watan mein apna mission kaamyab dekhenge

    duaen ki hain jo ahl-e-watan ne ro ro kar

    yaqin hai jald unhen mustajab dekhenge

    zamana aane hi wala hai jab hum ai zalim

    tujhe bhi KHwar tujhe bhi KHarab dekhenge

    bahut hi jald tere sar pe bhi KHuda ki qasam

    KHuda ka qahr KHuda ka itab dekhenge

    tujhe bhi dekhenge majbur-e-faqa-o-aflas

    tujhe bhi qaid-e-gham-o-iztirab dekhenge

    tujhe bhi apni tarah jald hi ba-fazl-e-KHuda

    asir-e-silsila-e-pech-o-tab dekhenge

    tujhe bhi apni tarah pa-e-band-e-nala-o-ah

    yun hi majal-e-tbah-o-KHarab dekhenge

    rawan-dawan tujhe hindostan se soe adam

    ba-qalb-e-zar o ba-chashm-e-pur-ab dekhenge

    ye dekhna hai jo kuchh hum ko us mein der nahin

    bahut hi jald bahut hi shitab dekhenge

    related content

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now