Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadmi-nama

Nazeer Akbarabadi

aadmi-nama

Nazeer Akbarabadi

Interesting Fact

ٓA popular nazm later used in a Hindi film 'Duniya Jhukti Hai'.

duniyā meñ pādshah hai so hai vo bhī aadmī

aur muflis-o-gadā hai so hai vo bhī aadmī

zardār-e-be-navā hai so hai vo bhī aadmī

nemat jo khā rahā hai so hai vo bhī aadmī

TukḌe chabā rahā hai so hai vo bhī aadmī

abdāl, qutub o ġhaus valī-ādmī hue

munkir bhī aadmī hue aur kufr ke bhare

kyā kyā karishme kashf-o-karāmāt ke liye

hattā ki apne zohd-o-riyāzat ke zor se

ḳhāliq se milā hai so hai vo bhī aadmī

fir.aun ne kiyā thā jo da.avā ḳhudā.ī

shaddād bhī bahisht banā kar huā ḳhudā

namrūd bhī ḳhudā kahātā thā barmalā

ye baat hai samajhne aage kahūñ maiñ kyā

yaañ tak jo ho chukā hai so hai vo bhī aadmī

kul aadmī husn o qubah meñ hai yaañ zuhūr

shaitāñ bhī aadmī hai jo kartā hai makr-o-zor

aur haadī rahnumā hai so hai vo bhī aadmī

masjid bhī aadmī ne banā.ī hai yaañ miyāñ

bante haiñ aadmī imaam aur ḳhutba-ḳhvāñ

paḌhte haiñ aadmī qur.ān aur namāziyāñ

aur aadmī un churāte haiñ jūtiyāñ

jo un ko tāḌtā hai so hai vo bhī aadmī

yaañ aadmī pe jaan ko vaare hai aadmī

aur aadmī pe teġh ko maare hai aadmī

pagḌī bhī aadmī utāre hai aadmī

chillā ke aadmī ko pukāre hai aadmī

aur sun ke dauḌtā hai so hai vo bhī aadmī

chaltā hai aadmī musāfir ho le ke maal

aur aadmī maare hai phāñsī gale meñ Daal

yaañ aadmī said hai aur aadmī jaal

sachchā bhī aadmī nikaltā hai mere laal

aur jhuuT bharā hai so hai vo bhī aadmī

yaañ aadmī shādī hai aur aadmī biyāh

qaazī vakīl aadmī aur aadmī gavāh

tāshe bajāte aadmī chalte haiñ ḳhvāh-maḳhvāh

dauḌe haiñ aadmī to mash.al jalā ke raah

aur byāhane chaḌhā hai so hai vo bhī aadmī

yaañ aadmī naqīb ho bole hai baar baar

aur aadmī payāde haiñ aur aadmī savār

huqqa surāhī jūtiyāñ dauḌeñ baġhal meñ maar

kāñdhe pe rakh ke pālkī haiñ dauḌte kahār

aur us meñ jo paḌā hai so hai vo bhī aadmī

baiThe haiñ aadmī dukāneñ lagā lagā

aur aadmī phirte haiñ rakh sar pe khūnchā

kahtā hai koī lo koī kahtā hai re

kis kis tarah becheñ haiñ chīzeñ banā banā

aur mol le rahā hai so hai vo aadmī

table majīre dā.ere sārañgiyāñ bajā

gaate haiñ aadmī har ik tarah jā-ba-jā

ranDī bhī aadmī nachāte haiñ gat lagā

aur aadmī nāche haiñ aur dekh phir mazā

jo naach dekhtā hai so hai vo bhī aadmī

yaañ aadmī la.al-o-javāhar meñ be-bahā

aur aadmī ḳhaak se bad-tar hai ho gayā

kaalā bhī aadmī hai ki ulTā hai juuñ tavā

gorā bhī aadmī hai ki TukḌā hai chāñd-sā

bad-shakl bad-numā hai so hai vo bhī aadmī

ik aadmī haiñ jin ke ye kuchh zarq-barq haiñ

ruupe ke jin ke paañv haiñ sone ke farq haiñ

jhamke tamām ġharb se le tā-ba-sharq haiñ

kam-ḳhvāb taash shaal do-shāloñ meñ ġharq haiñ

aur chīthaḌoñ lagā hai so hai vo bhī aadmī

hairāñ huuñ yaaro dekho to kyā ye svāñg hai

aur aadmī chor hai aur aapī thāng hai

hai chhīnā jhapTī aur baañg taañg hai

dekhā to aadmī yahāñ misl-e-rāñg hai

faulād se gaḌhā hai so hai vo bhī aadmī

marne meñ aadmī kafan karte haiñ tayār

nahlā-dhulā uThāte haiñ kāñdhe pe kar savār

kalma bhī paḌhte jaate haiñ rote haiñ zār-zār

sab aadmī karte haiñ murde ke kārobār

aur vo jo mar gayā hai so hai vo bhī aadmī

ashrāf aur kamīne se le shāh-tā-vazīr

ye aadmī karte haiñ sab kār-e-dil-pazīr

yaañ aadmī murīd hai aur aadmī piir

achchhā bhī aadmī kahātā hai ai 'nazīr'

aur sab meñ jo burā hai so hai vo bhī aadmī

duniya mein padshah hai so hai wo bhi aadmi

aur muflis-o-gada hai so hai wo bhi aadmi

zardar-e-be-nawa hai so hai wo bhi aadmi

nemat jo kha raha hai so hai wo bhi aadmi

TukDe chaba raha hai so hai wo bhi aadmi

abdal, qutub o ghaus wali-admi hue

munkir bhi aadmi hue aur kufr ke bhare

kya kya karishme kashf-o-karamat ke liye

hatta ki apne zohd-o-riyazat ke zor se

KHaliq se ja mila hai so hai wo bhi aadmi

firaun ne kiya tha jo dawa KHudai ka

shaddad bhi bahisht bana kar hua KHuda

namrud bhi KHuda hi kahata tha barmala

ye baat hai samajhne ki aage kahun main kya

yan tak jo ho chuka hai so hai wo bhi aadmi

kul aadmi ka husn o qubah mein hai yan zuhur

shaitan bhi aadmi hai jo karta hai makr-o-zor

aur hadi rahnuma hai so hai wo bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan

bante hain aadmi hi imam aur KHutba-KHwan

paDhte hain aadmi hi quran aur namaziyan

aur aadmi hi un ki churaate hain jutiyan

jo un ko taDta hai so hai wo bhi aadmi

yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi

aur aadmi pe tegh ko mare hai aadmi

pagDi bhi aadmi ki utare hai aadmi

chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi

aur sun ke dauDta hai so hai wo bhi aadmi

chalta hai aadmi hi musafir ho le ke mal

aur aadmi hi mare hai phansi gale mein Dal

yan aadmi hi said hai aur aadmi hi jal

sachcha bhi aadmi hi nikalta hai mere lal

aur jhuT ka bhara hai so hai wo bhi aadmi

yan aadmi hi shadi hai aur aadmi biyah

qazi wakil aadmi aur aadmi gawah

tashe bajate aadmi chalte hain KHwah-maKHwah

dauDe hain aadmi hi to mashal jala ke rah

aur byahane chaDha hai so hai wo bhi aadmi

yan aadmi naqib ho bole hai bar bar

aur aadmi hi payaade hain aur aadmi sawar

huqqa surahi jutiyan dauDen baghal mein mar

kandhe pe rakh ke palki hain dauDte kahaar

aur us mein jo paDa hai so hai wo bhi aadmi

baiThe hain aadmi hi dukanen laga laga

aur aadmi hi phirte hain rakh sar pe khuncha

kahta hai koi lo koi kahta hai la re la

kis kis tarah ki bechen hain chizen bana bana

aur mol le raha hai so hai wo aadmi

table majire daere sarangiyan baja

gate hain aadmi hi har ek tarah ja-ba-ja

ranDi bhi aadmi hi nachate hain gat laga

aur aadmi hi nache hain aur dekh phir maza

jo nach dekhta hai so hai wo bhi aadmi

yan aadmi hi lal-o-jawahar mein be-baha

aur aadmi hi KHak se bad-tar hai ho gaya

kala bhi aadmi hai ki ulTa hai jun tawa

gora bhi aadmi hai ki TukDa hai chand-sa

bad-shakl bad-numa hai so hai wo bhi aadmi

ek aadmi hain jin ke ye kuchh zarq-barq hain

rupe ke jin ke panw hain sone ke farq hain

jhamke tamam gharb se le ta-ba-sharq hain

kam-KHwab tash shaal do-shaalon mein gharq hain

aur chithaDon laga hai so hai wo bhi aadmi

hairan hun yaro dekho to kya ye swang hai

aur aadmi hi chor hai aur aapi thang hai

hai chhina jhapTi aur bang tang hai

dekha to aadmi hi yahan misl-e-rang hai

faulad se gaDha hai so hai wo bhi aadmi

marne mein aadmi hi kafan karte hain tayar

nahla-dhula uThate hain kandhe pe kar sawar

kalma bhi paDhte jate hain rote hain zar-zar

sab aadmi hi karte hain murde ke karobar

aur wo jo mar gaya hai so hai wo bhi aadmi

ashraf aur kamine se le shah-ta-wazir

ye aadmi hi karte hain sab kar-e-dil-pazir

yan aadmi murid hai aur aadmi hi pir

achchha bhi aadmi hi kahata hai ai 'nazir'

aur sab mein jo bura hai so hai wo bhi aadmi

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Habib Tanvir

Habib Tanvir

Mehdi Zaheer

Mehdi Zaheer

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now