Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq aur maut

Allama Iqbal

ishq aur maut

Allama Iqbal

Interesting Fact

( ماخو ذ از ٹيني سن (بانگ درا)

suhānī numūd-e-jahāñ ghaḌī thī

tabassum-fashāñ zindagī kalī thī

kahīñ muhr ko tāj-e-zar mil rahā thā

atā chāñd ko chāñdnī ho rahī thī

siyah pairahan shaam ko de rahe the

sitāroñ ko ta.alīm-e-tābindagī thī

kahīñ shāḳh-e-hastī ko lagte the patte

kahīñ zindagī kalī phūTtī thī

farishte sikhāte the shabnam ko ronā

hañsī gul ko pahle-pahal aa rahī thī

atā dard hotā thā shā.ir ke dil ko

ḳhudī tishna-kām mai-e-be-ḳhudī thī

uThī avval avval ghaTā kaalī kaalī

koī huur choTī ko khole khaḌī thī

zamīñ ko thā da.avā ki maiñ āsmāñ huuñ

makāñ kah rahā thā ki maiñ lā-makāñ huuñ

ġharaz is qadar ye nazāra thā pyārā

ki nazārgī ho sarāpā nazārā

malak āzmāte the parvāz apnī

jabīnoñ se nūr-e-azal āshkārā

farishta thā ik ishq thā naam jis

ki thī rahbarī us sab sahārā

farishta ki putlā thā be-tābiyoñ

malak malak aur paare paarā

pa.e sair firdaus ko rahā thā

qazā se milā raah meñ vo qazā-rā

ye pūchhā tirā naam kyā kaam kyā hai

nahīñ aañkh ko diid terī gavārā

huā sun ke goyā qazā farishta

ajal huuñ mirā kaam hai āshkārā

uḌātī huuñ maiñ raḳht-e-hastī ke purze

bujhātī huuñ maiñ zindagī sharārā

mirī aañkh meñ jādū-e-nīstī hai

payām-e-fanā hai usī ishārā

magar ek hastī hai duniyā meñ aisī

vo ātish hai maiñ sāmne us ke paarā

sharar ban ke rahtī hai insāñ ke dil meñ

vo hai nūr-e-mutlaq āñkhoñ taarā

Tapaktī hai āñkhoñ se ban ban ke aañsū

vo aañsū ki ho jin talḳhī gavārā

sunī ishq ne guftugū jab qazā

hañsī us ke lab par huī āshkārā

girī is tabassum bijlī ajal par

añdhere ho nuur meñ kyā guzārā

baqā ko jo dekhā fanā ho ga.ī vo

qazā thī shikār qazā ho ga.ī vo

suhani numud-e-jahan ki ghaDi thi

tabassum-fashan zindagi ki kali thi

kahin muhr ko taj-e-zar mil raha tha

ata chand ko chandni ho rahi thi

siyah pairahan sham ko de rahe the

sitaron ko talim-e-tabindagi thi

kahin shaKH-e-hasti ko lagte the patte

kahin zindagi ki kali phuTti thi

farishte sikhate the shabnam ko rona

hansi gul ko pahle-pahal aa rahi thi

ata dard hota tha shair ke dil ko

KHudi tishna-kaam mai-e-be-KHudi thi

uThi awwal awwal ghaTa kali kali

koi hur choTi ko khole khaDi thi

zamin ko tha dawa ki main aasman hun

makan kah raha tha ki main la-makan hun

gharaz is qadar ye nazara tha pyara

ki nazargi ho sarapa nazara

malak aazmate the parwaz apni

jabinon se nur-e-azal aashkara

farishta tha ek ishq tha nam jis ka

ki thi rahbari us ki sab ka sahaara

farishta ki putla tha be-tabiyon ka

malak ka malak aur pare ka para

pae sair firdaus ko ja raha tha

qaza se mila rah mein wo qaza-ra

ye puchha tera nam kya kaam kya hai

nahin aankh ko did teri gawara

hua sun ke goya qaza ka farishta

ajal hun mera kaam hai aashkara

uDati hun main raKHt-e-hasti ke purze

bujhati hun main zindagi ka sharara

meri aankh mein jadu-e-nisti hai

payam-e-fana hai usi ka ishaara

magar ek hasti hai duniya mein aisi

wo aatish hai main samne us ke para

sharar ban ke rahti hai insan ke dil mein

wo hai nur-e-mutlaq ki aankhon ka tara

Tapakti hai aankhon se ban ban ke aansu

wo aansu ki ho jin ki talKHi gawara

suni ishq ne guftugu jab qaza ki

hansi us ke lab par hui aashkara

giri is tabassum ki bijli ajal par

andhere ka ho nur mein kya guzara

baqa ko jo dekha fana ho gai wo

qaza thi shikar qaza ho gai wo

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now