Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis se mohabbat hai

Asrarul Haq Majaz

kis se mohabbat hai

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    batā.ūñ kyā tujhe ai ham-nashīñ kis se mohabbat hai

    maiñ jis duniyā meñ rahtā huuñ vo is duniyā aurat hai

    sarāpā rañg-o-bū hai paikar-e-husn-o-latāfat hai

    bahisht-e-gosh hotī haiñ guhar-afshāniyāñ us

    vo mere āsmāñ par aḳhtar-e-sub.h-e-qayāmat hai

    surayyā-baḳht hai zohra-jabīñ hai māh-e-tal.at hai

    mirā īmāñ hai merī zindagī hai merī jannat hai

    merī āñkhoñ ko ḳhīra kar ga.iiñ tābāniyāñ us

    vo ik mizrāb hai aur chheḌ saktī hai rag-e-jāñ ko

    vo chiñgārī hai lekin phūñk saktī hai gulistāñ ko

    vo bijlī hai jalā saktī hai saarī bazm-e-imkāñ ko

    abhī mere dil tak haiñ sharer-sāmāniyāñ us

    zabāñ par haiñ abhī ismat o taqdīs ke naġhme

    vo baḌh jaatī hai is duniyā se aksar is qadar aage

    mire taḳh.īl ke baazū bhī us ko chhū nahīñ sakte

    mujhe hairān kar detī haiñ nukta-dāniyāñ us

    jabīñ par sāya-gustar partav-e-qindīl-e-rahbānī

    azār-e-narm-o-nāzuk par shafaq rañg-afshānī

    qadam par loTtī hai azmat-e-tāj-e-sulaimānī

    azal se mo'taqid hai mahfil-e-nūrāniyāñ us

    adā.eñ le ke aa.ī hai vo fitrat ke ḳhazānoñ se

    jagā saktī hai mahfil ko nazar ke tāzyānoñ se

    vo malka hai ḳhirāj us ne liye haiñ bostānoñ se

    bas ik maiñ ne aksar haiñ nā-farmāniyāñ us

    vo merī jur.atoñ par be-niyāzī sazā denā

    havas zulmatoñ par naaz bijlī girā denā

    nigāh-e-shauq bebākiyoñ par muskurā denā

    junūñ ko dars-e-tamkīñ de ga.iiñ nādāniyāñ us

    vafā ḳhud hai aur merī vafā ko āzmāyā hai

    mujhe chāhā hai mujh ko apnī āñkhoñ par biThāyā hai

    mirā har sher tanhā.ī meñ us ne gungunāyā hai

    sunī haiñ maiñ ne aksar chhup ke naġhma-ḳhvāniyāñ us

    mire chehre pe jab bhī fikr ke āsār paa.e haiñ

    mujhe taskīn hai mere andeshe miTā.e haiñ

    mire shāne pe sar tak rakh diyā hai giit gaa.e haiñ

    mirī duniyā badal detī haiñ ḳhush-alhāniyāñ us

    lab-e-lālīñ pe lākhā hai na ruḳhsāroñ pe ġhāza hai

    jabīñ-e-nūr-afshāñ par na jhūmar hai na Tiikā hai

    javānī hai suhāg us tabassum us gahnā hai

    nahīñ ālūda-e-zulmat sahar-dāmāniyāñ us

    koī mere sivā us nishāñ nahīñ saktā

    koī us bārgāh-e-nāz tak nahīñ saktā

    koī us ke junūñ zamzama nahīñ saktā

    jhalaktī haiñ mire ash.ār meñ jaulāniyāñ us

    bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai

    main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai

    sarapa rang-o-bu hai paikar-e-husn-o-latafat hai

    bahisht-e-gosh hoti hain guhar-afshaniyan us ki

    wo mere aasman par aKHtar-e-subh-e-qayamat hai

    surayya-baKHt hai zohra-jabin hai mah-e-talat hai

    mera iman hai meri zindagi hai meri jannat hai

    meri aankhon ko KHira kar gain tabaniyan us ki

    wo ek mizrab hai aur chheD sakti hai rag-e-jaan ko

    wo chingari hai lekin phunk sakti hai gulistan ko

    wo bijli hai jala sakti hai sari bazm-e-imkan ko

    abhi mere hi dil tak hain sharer-samaniyan us ki

    zaban par hain abhi ismat o taqdis ke naghme

    wo baDh jati hai is duniya se aksar is qadar aage

    mere taKHil ke bazu bhi us ko chhu nahin sakte

    mujhe hairan kar deti hain nukta-daniyan us ki

    jabin par saya-gustar partaw-e-qindil-e-rahbani

    azar-e-narm-o-nazuk par shafaq ki rang-afshani

    qadam par loTti hai azmat-e-taj-e-sulaimani

    azal se mo'taqid hai mahfil-e-nuraniyan us ki

    adaen le ke aai hai wo fitrat ke KHazanon se

    jaga sakti hai mahfil ko nazar ke tazyanon se

    wo malka hai KHiraj us ne liye hain bostanon se

    bas ek main ne hi aksar ki hain na-farmaniyan us ki

    wo meri juraton par be-niyazi ki saza dena

    hawas ki zulmaton par naz ki bijli gira dena

    nigah-e-shauq ki bebakiyon par muskura dena

    junun ko dars-e-tamkin de gain nadaniyan us ki

    wafa KHud ki hai aur meri wafa ko aazmaya hai

    mujhe chaha hai mujh ko apni aankhon par biThaya hai

    mera har sher tanhai mein us ne gungunaya hai

    suni hain main ne aksar chhup ke naghma-KHwaniyan us ki

    mere chehre pe jab bhi fikr ke aasar pae hain

    mujhe taskin di hai mere andeshe miTae hain

    mere shane pe sar tak rakh diya hai git gae hain

    meri duniya badal deti hain KHush-alhaniyan us ki

    lab-e-lalin pe lakha hai na ruKHsaron pe ghaza hai

    jabin-e-nur-afshan par na jhumar hai na Tika hai

    jawani hai suhag us ka tabassum us ka gahna hai

    nahin aaluda-e-zulmat sahar-damaniyan us ki

    koi mere siwa us ka nishan pa hi nahin sakta

    koi us bargah-e-naz tak ja hi nahin sakta

    koi us ke junun ka zamzama ga hi nahin sakta

    jhalakti hain mere ashaar mein jaulaniyan us ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kis se mohabbat hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now