aah gandhi
Interesting Fact
The poem was penned immediately on hearing the news of Mr.Gandhi's assassination.
tire mātam meñ shāmil haiñ zamīn o āsmāñ vaale
ahinsā ke pujārī sog meñ haiñ do jahāñ vaale
tirā armān puurā hogā ai amn-o-amāñ vaale
tire jhanDe ke nīche ā.eñge saare jahāñ vaale
mire būḌhe bahādur is buḌhāpe meñ javāñ-mardī
nishāñ golī ke siine par haiñ golī ke nishāñ vaale
nishāñ haiñ goliyoñ ke yā khile haiñ phuul siine par
usī ko maar Daalā jis ne sar ūñchā kiyā sab kā
na kyuuñ ġhairat se sar nīchā kareñ hindostāñ vaale
mire gāñdhī zamīñ vāloñ ne terī qadr jab kam kī
uThā kar le ga.e tujh ko zamīñ se āsmāñ vaale
zamīñ par jin kā mātam hai falak par dhuum hai un kī
zarā sī der meñ dekho kahāñ pahuñche kahāñ vaale
pahuñchtā dhuum se manzil pe apnā kārvāñ ab tak
agar dushman na hote kārvāñ ke kārvāñ vaale
sunegā ai 'nazīr' ab kaun mazlūmoñ kī fariyādeñ
fuġhāñ le kar kahāñ jā.eñge ab āh-o-fuġhāñ vaale
tere matam mein shamil hain zamin o aasman wale
ahinsa ke pujari sog mein hain do jahan wale
tera arman pura hoga ai amn-o-aman wale
tere jhanDe ke niche aaenge sare jahan wale
mere buDhe bahadur is buDhape mein jawan-mardi
nishan goli ke sine par hain goli ke nishan wale
nishan hain goliyon ke ya khile hain phul sine par
usi ko mar Dala jis ne sar uncha kiya sab ka
na kyun ghairat se sar nicha karen hindostan wale
mere gandhi zamin walon ne teri qadr jab kam ki
uTha kar le gae tujh ko zamin se aasman wale
zamin par jin ka matam hai falak par dhum hai un ki
zara si der mein dekho kahan pahunche kahan wale
pahunchta dhum se manzil pe apna karwan ab tak
agar dushman na hote karwan ke karwan wale
sunega ai 'nazir' ab kaun mazlumon ki fariyaaden
fughan le kar kahan jaenge ab aah-o-fughan wale
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 39)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.