Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baba gandhi

Aaftab Rais Panipati

baba gandhi

Aaftab Rais Panipati

svārāj jhanDā bhārat meñ gaḌvā diyā gāñdhī baabā ne

dil qaum-o-vatan ke dushman dahlā diyā gāñdhī baabā ne

ulfat raah meñ mar jaanā par naam jahāñ meñ kar jaanā

ye paaTh vatan ke bachchoñ ko sikhlā diyā gāñdhī baabā ne

ik dharm tāqat dikhlā kar zālim ke chhakke chhoḌvā kar

bhārat lohā duniyā se manvā diyā gāñdhī baabā ne

ai qaum vatan ke parvāno lo apne farz ko pahchāno

ab jail se ye paiġhām hameñ bhijvā diyā gāñdhī baabā ne

charḳhe top chalā do tum ġhairoñ ke chhakke chhuḌā do tum

ye hind chakr-sudarshan hai samjhā diyā gāñdhī baabā ne

nafrat thī ġharīboñ se jin ko haiñ shaad achhūtoñ se mil kar

ik prem-pyālā duniyā ko pilvā diyā gāñdhī baabā ne

girdāb meñ qaum kashtī thī tūfān bapā the aafat ke

nation beḌā sāhil par lagvā diyā gāñdhī baabā ne

bhagvān bhagat ne himmat ik prem-jvālā jaag uThī

karvā kar shīr-o-shakar sab ko dikhlā diyā gāñdhī baabā ne

hañs hañs kar qaum ke bachchoñ ne sīnoñ par goliyāñ khaa.ī haiñ

bhārat rah meñ mar miTnā sikhlā diyā gāñdhī baabā ne

ġhairoñ ke jhāñsoñ meñ aanā dushvār hai hind ke lāloñ ko

āñkhoñ se ġhaflat parda uThvā diyā gāñdhī baabā ne

swaraj ka jhanDa bhaarat mein gaDwa diya gandhi baba ne

dil qaum-o-watan ke dushman ka dahla diya gandhi baba ne

ulfat ki rah mein mar jaana par nam jahan mein kar jaana

ye paTh watan ke bachchon ko sikhla diya gandhi baba ne

ek dharm ki taqat dikhla kar zalim ke chhakke chhoDwa kar

bhaarat ka loha duniya se manwa diya gandhi baba ne

ai qaum watan ke parwano lo apne farz ko pahchano

ab jail se ye paigham hamein bhijwa diya gandhi baba ne

charKHe ki top chala do tum ghairon ke chhakke chhuDa do tum

ye hind ka chakr-sudarshan hai samjha diya gandhi baba ne

nafrat thi gharibon se jin ko hain shad achhuton se mil kar

ek prem-pyala duniya ko pilwa diya gandhi baba ne

girdab mein qaum ki kashti thi tufan bapa the aafat ke

nation ka beDa sahil par lagwa diya gandhi baba ne

bhagwan bhagat ne himmat ki ek prem-jwala jag uThi

karwa kar shir-o-shakar sab ko dikhla diya gandhi baba ne

hans hans kar qaum ke bachchon ne sinon par goliyan khai hain

bhaarat ki rah mein mar miTna sikhla diya gandhi baba ne

ghairon ke jhanson mein aana dushwar hai hind ke lalon ko

aankhon se ghaflat ka parda uThwa diya gandhi baba ne

Source :

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now