gandhi-ji ki aawaz
Interesting Fact
(2nd October, 1964)
salām ai ufuq-e-hind ke hasīñ taaro
salām tum pe sip.har-e-vatan ke mah-pāro
salām tum pe mire bachcho ai mire pyāro
bhulā.e baiThe ho tum mujh ko kis liye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
suno ki merī tamannā-o-ārzū tum ho
suno ki mādar-e-bhārat kī aabrū tum ho
suno ki amn-e-zamāna kī justujū tum ho
ḳhamosh baiThe ho kyuuñ apne lab siye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
salām tum pe ki mere chaman ke phuul ho tum
mirī nazar mirī fitrat mirā usuul ho tum
magar ye kyā huā kis vāste malūl ho tum
ye tum ne chand ġhalat kaam kyuuñ kiye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
vatan meñ ḳhuun ke dariyā bahā diye tum ne
sabhī nuqūsh-e-ahinsā miTā diye tum ne
rivāj-kār-e-mohabbat bhalā diye tum ne
rusūm-e-mehr-o-vafā tark kar diye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
sabaq paḌhāyā thā tum ko adam-tashaddud kā
tumheñ batāyā thā maiñ ne gunāh hai hinsā
ye tum ne kis liye teġh-o-tabar se kaam liyā
tumhāre hāthoñ meñ ḳhanjar haiñ kis liye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
tumhāre zehnoñ meñ makrūh sāzish aur fasād
diloñ meñ nafrat-o-kīna hai aur buġhz-o-inād
magar laboñ pe hai bābā-e-qaum zindabād
mujhe ye khokhle na.are na chāhiye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
zamīn nānak-o-chishtī pukārtī hai tumheñ
dayār-e-budh kī tajallī pukārtī hai tumheñ
suno kanhaiyā kī bansī pukārtī hai tumheñ
ab aur der bhī karnī na chāhiye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
uTho zamāna-e-hāzir hai ik payām-e-amal
uTho ki kaañp rahī hai navā-e-sāz-e-ġhazal
uTho ki maañd na ho jaa.e husn-e-tāj-mahal
uTho ki sīnoñ meñ phir raushnī jiye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
phir apne zehnoñ meñ lahkāo dostī kā chaman
phir apnī sāñsoñ se mahkāo pyaar kā madhūban
phir apne kāmoñ se chamkāo sar-zamīn-e-vatan
tumhāre mai-kade meñ dahr phir piye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
na chhoḌo zinda vatan meñ kisī luTere ko
kuchal do baḌh ke har ik saañp ko sapere ko
miTāo firqa-parastī ke har añdhere ko
bachāo desh ko bhagvān ke liye yaaro
jalāo mere payāmāt ke diye yaaro
mujhe ye khokhle na.are na chāhiye yaaro
salam ai ufuq-e-hind ke hasin taro
salam tum pe siphar-e-watan ke mah-paro
salam tum pe mere bachcho ai mere pyaro
bhulae baiThe ho tum mujh ko kis liye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
suno ki meri tamanna-o-arzu tum ho
suno ki madar-e-bhaarat ki aabru tum ho
suno ki amn-e-zamana ki justuju tum ho
KHamosh baiThe ho kyun apne lab siye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
salam tum pe ki mere chaman ke phul ho tum
meri nazar meri fitrat mera usul ho tum
magar ye kya hua kis waste malul ho tum
ye tum ne chand ghalat kaam kyun kiye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
watan mein KHun ke dariya baha diye tum ne
sabhi nuqush-e-ahinsa miTa diye tum ne
riwaj-kar-e-mohabbat bhala diye tum ne
rusum-e-mehr-o-wafa tark kar diye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
sabaq paDhaya tha tum ko adam-tashaddud ka
tumhein bataya tha main ne gunah hai hinsa
ye tum ne kis liye tegh-o-tabar se kaam liya
tumhaare hathon mein KHanjar hain kis liye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
tumhaare zehnon mein makruh sazish aur fasad
dilon mein nafrat-o-kina hai aur bughz-o-inad
magar labon pe hai baba-e-qaum zindabaad
mujhe ye khokhle nare na chahiye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
zamin nanak-o-chishti pukarti hai tumhein
dayar-e-budh ki tajalli pukarti hai tumhein
suno kanhaiya ki bansi pukarti hai tumhein
ab aur der bhi karni na chahiye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
uTho zamana-e-hazir hai ek payam-e-amal
uTho ki kanp rahi hai nawa-e-saz-e-ghazal
uTho ki mand na ho jae husn-e-taj-mahal
uTho ki sinon mein phir raushni jiye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
phir apne zehnon mein lahkao dosti ka chaman
phir apni sanson se mahkao pyar ka madhuban
phir apne kaamon se chamkao sar-zamin-e-watan
tumhaare mai-kade mein dahr phir piye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
na chhoDo zinda watan mein kisi luTere ko
kuchal do baDh ke har ek sanp ko sapere ko
miTao firqa-parasti ke har andhere ko
bachao desh ko bhagwan ke liye yaro
jalao mere payamat ke diye yaro
mujhe ye khokhle nare na chahiye yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.