Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gandhi

ek faqīr

ek insāñ paikar-e-iḳhlās rūh-e-rāstī

ik faqīr-e-be-navā īsār jis zindagī

jis ke har qaul-o-amal meñ amn paiġhām thā

jis har iqdām goyā āfiyat-anjām thā

jis duniyā bandagī bhagTī surūr-e-jāvedāñ

jis duniyā kaif-o-sarmastī hāsil be-gumāñ

āshtī thī jis fitrat jis maz.hab pyaar thā

ḳhidmat-e-insāniyat jo alam-bardār thā

azm ne jis ke har ik mushkil ko āsāñ kar diyā

jazba-e-ehsās-e-ḳhuddārī bashar meñ bhar diyā

naaz uThā.e hind ke vo hind ġham-ḳhvār thā

kārvān-e-hurriyat rahbar-o-sālār thā

ye bhī hai mojiz-bayānī us har tahrīr

naqsh-e-farsūda se paidā ik na.ī tasvīr

ḳhaak se sho.ale uThe aur āsmāñ par chhā ga.e

māh-o-anjum ban ga.e kaun-o-makāñ par chhā ga.e

tīrgī bhāgī jahālat fazā chhuTne lagī

haule haule tīra-o-tārīk shab kaTne lagī

har taraf kaif-o-masarrat har taraf nūr-o-surūr

ġhunche ġhunche par tabassum chashm-e-nargis par ġhurūr

ye fusūñ-kārī huī jis ke sabab vo kaun thā

ye junūñ-kārī huī jis ke sabab vo kaun thā

naam thā gāñdhī magar us ke hazāroñ naam haiñ

ek mai-ḳhāna hai jis meñ har tarah ke jaam haiñ

ek faqir

ek insan paikar-e-iKHlas ruh-e-rasti

ek faqir-e-be-nawa isar jis ki zindagi

jis ke har qaul-o-amal mein amn ka paigham tha

jis ka har iqdam goya aafiyat-anjam tha

jis ki duniya bandagi bhagTi surur-e-jawedan

jis ki duniya kaif-o-sarmasti ki hasil be-guman

aashti thi jis ki fitrat jis ka mazhab pyar tha

KHidmat-e-insaniyat ka jo alam-bardar tha

azm ne jis ke har ek mushkil ko aasan kar diya

jazba-e-ehsas-e-KHuddari bashar mein bhar diya

naz uThae hind ke wo hind ka gham-KHwar tha

karwan-e-hurriyat ka rahbar-o-salar tha

ye bhi hai mojiz-bayani us ki har tahrir ki

naqsh-e-farsuda se paida ek nai taswir ki

KHak se shoale uThe aur aasman par chha gae

mah-o-anjum ban gae kaun-o-makan par chha gae

tirgi bhagi jahaalat ki faza chhuTne lagi

haule haule tira-o-tarik shab kaTne lagi

har taraf kaif-o-masarrat har taraf nur-o-surur

ghunche ghunche par tabassum chashm-e-nargis par ghurur

ye fusun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha

ye junun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha

nam tha gandhi magar us ke hazaron nam hain

ek mai-KHana hai jis mein har tarah ke jam hain

Source :
  • Book : Sehr-e-Khayal (Pg. 50)
  • Author : Sahir Hoshiarpuri
  • Publication : Modern Publishing House (1990)
  • Edition : 1990

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now