Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gandhi

shahīdoñ sartāj jannat-maqām

mohabbat me.arāj zī-ehtirām

ġhulāmān-e-ālam pusht-o-panāh

ahinsā ke bandoñ ummīd-gāh

vo ġham bhī vatan thā ġham-ḳhvār bhī

razākār bhī aur sālār bhī

ahinsā pairav magar sher-e-mard

mohabbat meñ yaktā sadāqat meñ fard

huā jis ke dam se ba-sad ehtishām

siyāsat se ūñchā sadāqat naam

vo aadam azmat ā.īna-dār

vo zarra ki chamkā thā ḳhurshīd-dār

vo jis ne diyā ādamiyat ko auj

vo jis ne laḌā.ī ahinsā fauj

qafas hai koī ab na sayyād hai

vatan jis hikmat se āzād hai

vo nūr-e-ziyā-bār sīmā-e-ḳhair

vo jūyā-e-ḳhair-o-shanāsā-e-ḳhair

farishta-ḳhisāl-o-farishta-siyar

malak dar-haqīqat ba-zāhir bashar

mohabbat vo ik shabīh-e-hasīñ

uḳhuvvat vo ek māh-e-mubīñ

vo haq āgahī kachhāroñ sher

sadāqat ke maidāñ mard-e-diler

falak-āfrīñ aur gardūñ-tarāz

marīzān-e-pastī vo chārasāz

vo kotāh-bīnoñ sham-e-shu.ūr

vo gumrāhiyoñ meñ hidāyat nuur

vo jis ne uThāyā zamāne baar

kiyā jis ne jābir ko be-iḳhtiyār

vo be-misl qaa.id muassar ḳhatīb

vo lashkar meñ jis ke amīr-o-ġharīb

vo jis ne karoḌoñ ke kaaTe haiñ band

vo arfa.a vo a.alā vo sab se buland

vo jis atā hai nirālī atā

vo jis ne diyā ik nayā falsafa

zamīñ par bahā us jarī lahū

tafūbar ai charḳh-e-gardāñ tafū

shahidon ka sartaj jannat-maqam

mohabbat ki mearaj zi-ehtiram

ghulaman-e-alam ki pusht-o-panah

ahinsa ke bandon ki ummid-gah

wo gham bhi watan ka tha gham-KHwar bhi

razakar bhi aur salar bhi

ahinsa ka pairaw magar sher-e-mard

mohabbat mein yakta sadaqat mein fard

hua jis ke dam se ba-sad ehtisham

siyasat se uncha sadaqat ka nam

wo aadam ki azmat ka aaina-dar

wo zarra ki chamka tha KHurshid-dar

wo jis ne diya aadamiyat ko auj

wo jis ne laDai ahinsa ki fauj

qafas hai koi ab na sayyaad hai

watan jis ki hikmat se aazad hai

wo nur-e-ziya-bar sima-e-KHair

wo juya-e-KHair-o-shanasa-e-KHair

farishta-KHisal-o-farishta-siyar

malak dar-haqiqat ba-zahir bashar

mohabbat ki wo ek shabih-e-hasin

uKHuwwat ka wo ek mah-e-mubin

wo haq aagahi ki kachhaaron ka sher

sadaqat ke maidan ka mard-e-diler

falak-afrin aur gardun-taraaz

marizan-e-pasti ka wo chaarasaz

wo kotah-binon ki sham-e-shuur

wo gumrahiyon mein hidayat ka nur

wo jis ne uThaya zamane ka bar

kiya jis ne jabir ko be-iKHtiyar

wo be-misl qaid muassar KHatib

wo lashkar mein jis ke amir-o-gharib

wo jis ne karoDon ke kaTe hain band

wo arfa wo aala wo sab se buland

wo jis ki ata hai nirali ata

wo jis ne diya ek naya falsafa

zamin par baha us jari ka lahu

tafubar tu ai charKH-e-gardan tafu

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 296)
  • Author : Arsh Malsiyani
  • Publication : Ali Imran Chaudhary

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now