Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahatma-gandhi ka qatl

Anand Narayan Mulla

mahatma-gandhi ka qatl

Anand Narayan Mulla

mashriq diyā gul hotā hai maġhrib pe siyāhī chhātī hai

har dil san ho jaatā hai har saañs lau tharrātī hai

uttar dakhkhin pūrab pachchhim har samt se ik chīḳh aatī hai

nau-e-insāñ kāñdhoñ pe liye gāñdhī arthī jaatī hai

ākāsh ke taare bujhte haiñ dhartī se dhuāñ uThtā hai

duniyā ko ye lagtā hai jaise sar se koī saayā uThtā hai

kuchh der ko nabz-e-ālam bhī chalte chalte ruk jaatī hai

har mulk parcham girtā hai har qaum ko hichkī aatī hai

tahzīb jahāñ tharrātī hai tārīḳh-e-bashar sharmātī hai

maut apne kaTe par ḳhud jaise dil dil meñ pachhtātī hai

insāñ vo uThā jis saanī sadiyoñ meñ bhī duniyā jan na sakī

mūrat vo miTī naqqāsh se bhī joban ke dobāra ban na sakī

dekhā nahīñ jaatā āñkhoñ se ye manzar-e-ibratnāk-e-vatan

phūloñ ke lahū ke pyāse haiñ apne ḳhas-o-ḳhāshāk-e-vatan

hāthoñ se bujhāyā ḳhud apne vo sho.ala-e-rūh pāk-e-vatan

daaġh us se siyah-tar koī nahīñ dāman pe tire ai ḳhāk-e-vatan

paiġhām-e-ajal laa.ī apne us sab se baḌe mohsin ke liye

ai vā.e-tulū-e-āzādī āzād hue us din ke liye

jab nāḳhun-e-hikmat TuuTe dushvār ko āsāñ kaun kare

jab ḳhushk huā abr-e-bārāñ shāḳhoñ ko gul-afshāñ kaun kare

jab sho.ala-e-mīnā sard ho ḳhud jāmoñ ko farozāñ kaun kare

jab sūraj gul ho jaa.e tāroñ meñ charāġhāñ kaun kare

nāshād vatan afsos tirī qismat sitāra TuuT gayā

uñglī ko pakaḌ kar chalte the jis vahī rahbar chhūT gayā

us husn se kuchh hastī meñ tirī azdād hue the aa ke baham

ik ḳhvāb-o-haqīqat sañgam miTTī pe qadam nazroñ meñ iram

ik jism-e-nahīf-o-zār magar ik azm-e-javān-o-mustahkam

chashm-e-bīnā ma.asūm dil ḳhurshīd nafas zauq-e-shabnam

vo ijz-e-ġhurūr-e-sultāñ bhī jis ke aage jhuk jaatā thā

vo mom ki jis se Takrā kar lohe ko pasīna aatā thā

siine meñ jo de kāñToñ ko bhī us gul latāfat kyā kahiye

jo zahar piye amrit kar ke us lab halāvat kyā kahiye

jis saañs meñ duniyā jaañ paa.e us saañs nik.hat kyā kahiye

jis maut pe hastī naaz kare us maut azmat kyā kahiye

ye maut na thī qudrat ne tire sar par rakkhā ik tāj-e-hayāt

thī ziist tirī merāj-e-vafā aur maut tirī merāj-e-hayāt

yaksāñ nazdīk-o-dūr pe thā bārān-e-faiz-e-ām tirā

har dasht-o-chaman har koh-o-daman meñ gūñjā hai paiġhām tirā

har ḳhushk-o-tar hastī pe raqam hai ḳhatt-e-jalī meñ naam tirā

har zarre meñ terā ma.abad har qatra tīrath dhaam tirā

us lutf-o-karam ke aa.iiñ meñ mar kar bhī na kuchh tarmīm huī

is mulk ke kone kone meñ miTTī bhī tirī taqsīm huī

tārīḳh meñ qaumoñ ubhre kaise kaise mumtāz bashar

kuchh mulk ke taḳht-nashīñ kuchh taḳht-falak ke tāj-basar

apnoñ ke liye jām-o-sahbā auroñ ke liye shamshīr-o-tabar

nard-e-insāñ Taptī rahī duniyā bisāt-e-tāqat par

maḳhlūq ḳhudā ban ke sipar maidāñ meñ dilāvar ek

īmāñ ke payambar aa.e bahut insāñ payambar ek

bāzū-e-fardā uḌ uḌ ke thake tirī rif.at tak na sake

zehnoñ tajallī kaam aa.ī ḳhāke bhī tire haath aa na sake

alfāz-o-ma.anī ḳhatm hue unvāñ bhī tirā apnā na sake

nazroñ ke kañval jal jal ke bujhe parchhā.īñ bhī terī na sake

har ilm-o-yaqīñ se bālā-tar hai vo sipehr-e-tābinda

suufī jahāñ nīchī hai nazar shā.ir tasavvur sharminda

pastī-e-siyāsat ko ne apne qāmat se rif.at

īmāñ tañg-ḳhayālī ko insāñ ke ġham vus.at

har saañs se dars-e-aman diyā har jabr pe dād-e-ulfat

qātil ko bhī gar lab hil na sake āñkhoñ se duā-e-rahmat

hinsā ko ahinsā apnī paiġhām sunāne aayā thā

nafrat maarī duniyā meñ ik prem sandesa laayā thā

us prem sandese ko tere sīnoñ amānat banñā hai

sīnoñ se kudūrat dhone ko ik mauj-e-nadāmat banñā hai

us mauj ko baḌhte baḌhte phir sailāb-e-mohabbat banñā hai

us sail-e-ravāñ ke dhāre ko is mulk qismat banñā hai

jab tak na bahegā ye dhārā shādāb na hogā baaġh tirā

ai ḳhāk-e-vatan dāman se tire Dhulne nahīñ ye daaġh tirā

jaate jaate bhī to ham ko ik ziist unvāñ de ke gayā

bujhtī huī sham-e-mahfil ko phir sho.ala-e-raqsāñ de ke gayā

bhaTke hue gām-e-insāñ ko phir jāda-e-insāñ de ke gayā

har sāhil-e-zulmat ko apnā mīnār-e-daraḳhshāñ de ke gayā

chup hai lekin sadiyoñ tak gūñjegī sadā-e-sāz tirī

duniyā ko añdherī rātoñ meñ Dhāras degī āvāz tirī

mashriq ka diya gul hota hai maghrib pe siyahi chhati hai

har dil san sa ho jata hai har sans ki lau tharraati hai

uttar dakhkhin purab pachchhim har samt se ek chiKH aati hai

nau-e-insan kandhon pe liye gandhi ki arthi jati hai

aakash ke tare bujhte hain dharti se dhuan sa uThta hai

duniya ko ye lagta hai jaise sar se koi saya uThta hai

kuchh der ko nabz-e-alam bhi chalte chalte ruk jati hai

har mulk ka parcham girta hai har qaum ko hichki aati hai

tahzib jahan tharraati hai tariKH-e-bashar sharmati hai

maut apne kaTe par KHud jaise dil hi dil mein pachhtati hai

insan wo uTha jis ka sani sadiyon mein bhi duniya jan na saki

murat wo miTi naqqash se bhi joban ke dobara ban na saki

dekha nahin jata aankhon se ye manzar-e-ibratnak-e-watan

phulon ke lahu ke pyase hain apne hi KHas-o-KHashak-e-watan

hathon se bujhaya KHud apne wo shoala-e-ruh pak-e-watan

dagh us se siyah-tar koi nahin daman pe tere ai KHak-e-watan

paigham-e-ajal lai apne us sab se baDe mohsin ke liye

ai wae-tulu-e-azadi aazad hue us din ke liye

jab naKHun-e-hikmat hi TuTe dushwar ko aasan kaun kare

jab KHushk hua abr-e-baran hi shaKHon ko gul-afshan kaun kare

jab shoala-e-mina sard ho KHud jamon ko farozan kaun kare

jab suraj hi gul ho jae taron mein charaghan kaun kare

nashad watan afsos teri qismat ka sitara TuT gaya

ungli ko pakaD kar chalte the jis ki wahi rahbar chhuT gaya

us husn se kuchh hasti mein teri azdad hue the aa ke baham

ek KHwab-o-haqiqat ka sangam miTTi pe qadam nazron mein iram

ek jism-e-nahif-o-zar magar ek azm-e-jawan-o-mustahkam

chashm-e-bina masum ka dil KHurshid nafas zauq-e-shabnam

wo ijz-e-ghurur-e-sultan bhi jis ke aage jhuk jata tha

wo mom ki jis se Takra kar lohe ko pasina aata tha

sine mein jo de kanTon ko bhi ja us gul ki latafat kya kahiye

jo zahar piye amrit kar ke us lab ki halawat kya kahiye

jis sans mein duniya jaan pae us sans ki nikhat kya kahiye

jis maut pe hasti naz kare us maut ki azmat kya kahiye

ye maut na thi qudrat ne tere sar par rakkha ek taj-e-hayat

thi zist teri meraj-e-wafa aur maut teri meraj-e-hayat

yaksan nazdik-o-dur pe tha baran-e-faiz-e-am tera

har dasht-o-chaman har koh-o-daman mein gunja hai paigham tera

har KHushk-o-tar hasti pe raqam hai KHatt-e-jali mein nam tera

har zarre mein tera mabad har qatra tirath dham tera

us lutf-o-karam ke aain mein mar kar bhi na kuchh tarmim hui

is mulk ke kone kone mein miTTi bhi teri taqsim hui

tariKH mein qaumon ki ubhre kaise kaise mumtaz bashar

kuchh mulk ke taKHt-nashin kuchh taKHt-falak ke taj-basar

apnon ke liye jam-o-sahba auron ke liye shamshir-o-tabar

nard-e-insan Tapti hi rahi duniya ki bisat-e-taqat par

maKHluq KHuda ki ban ke sipar maidan mein dilawar ek tu hi

iman ke payambar aae bahut insan ka payambar ek tu hi

bazu-e-farda uD uD ke thake teri rifat tak ja na sake

zehnon ki tajalli kaam aai KHake bhi tere hath aa na sake

alfaz-o-mani KHatm hue unwan bhi tera apna na sake

nazron ke kanwal jal jal ke bujhe parchhain bhi teri pa na sake

har ilm-o-yaqin se baala-tar tu hai wo sipehr-e-tabinda

sufi ki jahan nichi hai nazar shair ka tasawwur sharminda

pasti-e-siyasat ko tu ne apne qamat se rifat di

iman ki tang-KHayali ko insan ke gham ki wusat di

har sans se dars-e-aman diya har jabr pe dad-e-ulfat di

qatil ko bhi gar lab hil na sake aankhon se dua-e-rahmat di

hinsa ko ahinsa ka apni paigham sunane aaya tha

nafrat ki mari duniya mein ek prem sandesa laya tha

us prem sandese ko tere sinon ki amanat banna hai

sinon se kudurat dhone ko ek mauj-e-nadamat banna hai

us mauj ko baDhte baDhte phir sailab-e-mohabbat banna hai

us sail-e-rawan ke dhaare ko is mulk ki qismat banna hai

jab tak na bahega ye dhaara shadab na hoga bagh tera

ai KHak-e-watan daman se tere Dhulne ka nahin ye dagh tera

jate jate bhi to hum ko ek zist ka unwan de ke gaya

bujhti hui sham-e-mahfil ko phir shoala-e-raqsan de ke gaya

bhaTke hue gam-e-insan ko phir jada-e-insan de ke gaya

har sahil-e-zulmat ko apna minar-e-daraKHshan de ke gaya

tu chup hai lekin sadiyon tak gunjegi sada-e-saz teri

duniya ko andheri raaton mein Dhaaras degi aawaz teri

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now